Monday, 29 October 2012

Na Janey Konsi Majboorion


Na Janey Konsi Majboorion Ka Qaidi Ho
Bicharr Giya Hai To Tum Us Ko Bewafa Na Kaho

Friday, 26 October 2012

Tumhari Baat Lambi Hai


Tumhari Baat Lambi Hai Daleelein Hain Bahaney Hain
Hamari Baat Sirf Itni Hai, Hamari Zindagi Tum Ho

Abhi Akhtiar Hai To Ye Alam Hai


Abhi Akhtiar Hai To Ye Alam Hai
Muhabbat Farz Hoti To Kiya Hota

Khoob Yeh Tum Nay Kaha


Khoob Yeh Tum Nay Kaha Hasharr Mein Mill Jain Gay
Iss Qadar Bheer Mein Hoti Hai Mullaqat Bhalla

Chalney Ka Housla Nahin


Chalney Ka Housla Nahin Rukkna Mahaaal Kar Diya
Ishq K Iss Saffar Nay To Mujh Ko Nidhaal Kr Diya

Tuesday, 23 October 2012

Meri Zaat Zarra e Benishan


Meri Zaat Zarra e Benishan

Tere Siwa Kia Janey Koi
Dil Ki Hallat Rabba
Samney Tere Mujh Pr Guzri
Kaisi Qayamat Rabba

Chahat Kee Dehleez Par



Chahat Kee Dehleez Par
Beqarari K Sumander Mein
Jazbat Ki Moujon Nay
Uthhaya Hai Sar
Aor
Janoon Ki Mehfil Sajai Hai

Saturday, 20 October 2012

Jab Bhi Aankhon Pe Khawab Utterey Ga


Jabb Bhi Aankhon Pe Khab Uttrey Gaa
Ekk Musalsal Azzab Uttrey Gaa

Shabnami Dill Ki Phirr Fazzain Hain
Phirr Sulgtta Sahhab Uttrey Gaa

Jabb Neind Sey Aankhein Bojhall Hoon


Jabb Neind Se Aankhein Bojhall Hoon
Aor Apney Aankh Se Ojhall Hoon
Phirr Neind Bhalla Kab Aati Hai
Jab Dill Mein Basney Wale Bhi
Aor Saath Mein Hansney Wale Bhi

Honton Pe Sajja Kar Wo


Honton Pe Sajja Karr Wo Khush Rangg Gulabon Ko
Kion Mujh Se Chhuppata Hai Duniya K Azabon Ko

Ye Soch Hi Ab Mujh Ko Kuchh Kehney Nahin Daiti
Afsurda Naa Ho Jaye Tu Sun Kay Jawabon Ko

Koi Chupkey Chupkey Kehta Hai



Koi Chupkey Chupkey Kehta Hai
Koi Geet Likhoo Meri Aankhoon Prr
Koi Shaer Kaho Merey Lafzon Parr
In Khushbu Jaisee Batoon Par
Chup Chaap Mein Sunta Rehta Hoon

Aankhon Mein Sitarey


Aankhon Mein Sittarey To Kai Shaam Se Uttrey
Pr Dill Ki Uddasi Naa Dar o Baam Se Utrey

Kuchh Rangg To Ubhrey Teri Gull Perhni Ka
Kuchh Zang To Aaina e Ayyam Se Uttrey

Aisa Bhi Nahin Hai



Aisa B Nahin Hai K Mujhe Janta Nahin
Wo Shakhs Younhi Mujh Se Kabhi Bolta Nahin

Teri Hikaitein B Chalo Mujh Se Judda Rahein
Lekin Aay Yaar Iss Tarah Gham To Chuppa Nahin

Thursday, 18 October 2012

Jab Tera Hukam Milla


Jabb Tera Hukam Milla Tark Muhabbat Kar Di
Dill Magr Iss Pe Wo Dharka K Qayamat kar Di

Tujh Se Kiss Tarah Mein Izhar e Tamana Krata
Lafz Soojha To Maani Nay Baghawat Kar Di

Tum Chaand Sitara Lagtey Ho


Tum Chaand Sitara Lagtey Ho

Tum Subha Ka Taara Lagtey Ho
Ekk Noor Ka Dharaa Lagtey Ho
Ye Phool, Charagh Kahan Tum Se
Tum Chaand Sitara Lagtey Ho

Tuesday, 16 October 2012

Mein B Aam C Larki Hoon



Mein Bhi Aam See Larki Hon

Tum Ne Mujhe Koi Sangi Mujasma Hi Samjha
Keh Jiss Pr Koi Baat, Koi Dukh
Koi Takleef Assar Nahin Karti
Mere Dosto...

Mein Roti Nahin Hoon



Mein Roti Nahin Hoon

Uss Nay Poocha
"Aankhein Kaisey Bheegi Hain
Roi Roi Lagti Ho"

Mein Naay

Mere Charagar Ko Naveed Ho



Mere Charagarr Ko Naveed Ho
Woh Jo Dill Mein Jeeney Kee Chah Thei
Woh Jo Dard Thaa
Woh Jo ZIndagi Se Juddai Ka Mujhe Khof Thaa
Ussi Khouf Se Mera Poor Poor Zard Thaa

Mousamon Ne Khabar Sunna Di


Mousamon Nay Khabbar Sunna Di Hai
Phool Khilney Ki Rutt Tamam Hui
Zard Suraj Ka Chehra Kehta Hia
Dinn Kay Dhalney Ka Waqt Aa Pohncha
Mere Hathon Se Phissla Hathh Uss Ka

Shaam Bhi Shaid Doob Chukki Hai



Tumhein Maaloom Hai Janan
Abhi Kuch Dair Pehley Hee
Uddas Shaam Ufq Kee Dehleez Pe Baithy
Qurbaton Ki Aarzu
Mehkti, Muskurati, Unn Kahi See Guftagu
Surmai Se Aanchlon Ki Abru
Apni Purnam O Purkhawab Aankhon Mein Sajaye

Sunno Hamdam..!


Sunno Hamdam..!!!
Bahot See Digriyan Le Kar
Hunnar Pe Dastrass Paa Kr
Nassab e Chahat Dill Ke
Agr Parhney Se Qaasir Ho

Uss Ne Kaha Mein Janti Hoon


Uss Ne Kaha Mein Janti Hoon
Uss Ne Kaha
Mujhey Patta Hai
Tumhari Aankhein Abbr Aalood Hain
Mein Tumhein Aor Rullaon Gee

Dard Jeet Jaata Hai


Dard Jeet Jata Hai
Log Miltey Jultey Hain
Saath Sath Chaltey Hain
Ranjishein B Hoti Hain
Ranjishon Mein B Lekin

Friday, 12 October 2012

Mein Ussey Chhorr Aai Hoon




Mein Ussey Chhorr Aai Hoon

Mein Muhabbat Ki Ibteda Aor
Inteha K Mutaliq Nahin Janti      
Mein Iss K Maani B Nahi Samjhi Hoon
Magger, Jis K Binna
Sans Lena Bhi Mumkin Nahin Tha
Jiss Ke Bicherney K Khiyal Se Hi
Dill Ki Sari Ragen Toot'ti Thein
Wo Jiss Ki Kaj Addai
Sahi Nahin Jaati Thi
Wo Jiss Ki Ekk Pall ki Berukhei Se
Kumla See Jati Thi
Wo Jiss Ki Halki See Takleef
Mujhe Bokhla Deti Hai
Wo Jis Ki Choti C Farmaish
Puri Krney Ko Kia Kia Jattan Karti Thi
Jiss Ki Har Baat Seh Jati Thi
Jissey Rothney Nahin Deti Thee
Aaj Uss Ki Aakhri Tamna Bhi
Puri Kar Aai Hoon
Haam Tum Sahi Samjhey Ho
Mein Uss K Laye, Ussey Chhorr Aai Hoon
Jiss K Na Honey Se
Mere Jewan K Sab Rangg Khatam Ho Gaye Hain



Rabia Basri

Narazgi - Urdu Poetry


Mein Ne Ye Kaam
Apni Khushi Se Kiya Hai Ya...!!!
Kissi Majboori K Teht
Maloom Nahin Lekin
Yeh Hua Hai..
K Mein Ne
Apni Tanhaion Ki Unglion Se
Tumhari Yaadon Ki Angothian
Uttar Phainki Hain..!!!

Tum Kiya Jano


Tum Kiya Jano..!!
Ashk Tum Ne Nahi Chakha Hai Abhi
Dard Ka Rangg Nahi Dekha Hai
Tum Ne Dekhi, Na Sunni
Zard Hote Huey
Patton Ke Labon Ki Siski
Sozish e Jaan Ko Bhalla Kiya Jano
Tum Ne Dekhi Hai Kabhi Ye Duniya
Meri Aankhon Mein Kabhi Jhanka Hai..?

Meri Rooh Mein


Meri Rooh Mein
Shagaff Daal Kar
Wo Bahot Pur Sakoon Hai
Iss Baat Se Bekhabarr
Keh Meri Rooh Mein
Basney Wala
Ekk Faqat
"Wohi" To Hai..!!!

Phoolon Ki Numaish Mein


Phoolon Ki Numaish Mein Agr Tu Bhi Hua To
Iss Baar Gulabon Ko Barri Aag lagey Gee

Maasoom


Wo Mujh Se Aksar Poochta Hai
Achhi Larki, Itna Ziada Kion Roti Ho..?
Itni Tanhaa Kion Rehtee Ho..?
Ujri Ujri Kion Dikhti Ho..?
Wo Kitna Maasoom Hai Naan..!!!

Rabia Basri

Thursday, 11 October 2012

Kahan Tha Itna Azab Ashna


Kahan Thaa Itna Azzab Aashna Mera Chehra
Jalley Charagh To Bujhney Lagga Mera Chehra

Wo Tere Hijr K Din Wo Safeer Sadion Kay
Tu Unn Dinon Mein Kabhi Dekhta Mera Chehra

Judaion Kay Saffar Mein Rahey Hain Sath Sadda
Teri Talash, Zamaney, Hawa, Mera Chehra

Mere Siwa Koi Itna Uddas B To Naa Tha
Khizzan K Chaand Ko Achha Laga Mera Chehra

Kitaab Khol Raha Tha Wo Apney Mazi Ki
Warq Warq Pe Bikherta Giya Mera Chehra

Yeh Log Mujhe Ab Pehchantey Nahin Mohsin
Mein Sochta Hoon, Kahan Reh Giya Mera Chehra

Ishq Ka Azzal Sey Yahi Dastoor Hai


Ishq Kaa Azzal Se Yahi Dastoor Hai
Jo Iss Ko Jaan Leta Hai, Ye Uss Ki Jaan Leta Hai

Haidromeniya

Haidromeniya

Aaye Pathar Sansaar...!!!
Sang e Siffat Tere Logon Kay
Pathar Jaise Seeno Se
Sarr Takra Kr Marney Se
Behtarr Hai Mein Karr Daloon
Jewan Hee Sangsaar
Aaye Pathar Sansaar

Iman Qaisarani

Log Mujhe Hi Kion Kehtey Hain


Logg Mujhe Hi Kion Kehtey Hain Ussey Bhool Jaa
Koi Ussey Hi Jaa Kar Keh Day K Wo Mera Ho Jaye

Hum To Bas Khawab Hain - Urdu Poetry


Hum To Bas Khawab Hain
Kuchh Pall K Laye Dekho Hamein
Phirr Kissi Aankh Kisi Neind
Mein Aaney K Nahiein
Phirr Kissi Rah, Kissi More Parr
Hm Hoon Gay Nahein
Hm To Bass Gard Hain
Kuchh Dair Mein Mitt Jain Ge
Hm To Khushbu Hain
Hamein Rangg Na Koi Daina
Sirf Ehsas Ko Chhuu Kr Hai Guzr Jana Hamein
Hum To Aansoo Hain, Bahein Gay
To Naa Loutein Gay Kabhi
Hum To Bass Zakham Hain
Seeney Kaa........Hamein Bharna Hai
Hm Wo Ehsaas Ki Bailain Hain Jo Chhaon Chahein
Dard Kee Dhoop Jo Chhuu Lay To Hamein Marna Hai
Hum To Bass Khawab Hain, Kuchh Pall Mein Bikherney Waley

Kanwal Hussain

Abllapaa Koi Is Dasht Mein

Abllapaa Koi Iss Dasht Mein Aya Hoga
Warna Aandhi Mein Diya Kiss Ne Jalaya Hoga

Zarrey Zarrey Pe Jarrey Honge Kunware Sajde
Ekk Ekk But Ko Khuda Us Ney Banaya Hoga

Piays Jaltey Huey Kanton Bujhai Hogee
Riste Pani Ko Hathaili Pe Sajaya Hoga

Mill Giya Hoga Agr Koi Sunaheri Patthar
Apna Tuta Hua Dill Yaad To Aya Hoga

Khun K Chhintey Kahein Puch Na Lain Rehron Se
Kis Ne Weeraney Ko Gulzar Banaya Hoga

Meena Kumari

Na Dagmaggaye Kabi Hm Wafa K Rastey Mein

Na Dagmaggaye Kabhi Hum Wafa K Rastey Mein
Gharagh Hum Nay Jalaye Hawa Kay Rastey Mein

Kissey Lagaye Galley Aor Kahan Kahan Thehrey
Hazar Ghuncha O Gull Hain Saba Kay Rastey Mein

Khuda Ka Naam Koi Le To Chonk Uthhtey Hain
Milley Hain Hum Ko Wo Rahber Khuda K Rastey Mein

Kahein Salasil Tasbeeh Aor Kahein Zannar
Bichhey Hain Daam Bahot Mudda K Rastey Mein

Abhi Wo Manzil e Fikr O Nazr Kahan Aai
Hai Aadmi Abhi Jurm O Saza K Rastey Mein

Hain Aaj Bhi Wohi Dar O Rassn Wohi Zandan
Hr Ekk Nigah e Ramooz Aashna K Rastey Mein

Yeh Nafrton Ki Faseelin, Jahalton K Hassar
Na Reh Saken Gay Hamari Sadda K Rastey Mein

Mitta Sakey Na Koi Sail e Inqalab Jinhein
Wo Naqsh Chhorey Hain Hm Ne Wafa K Rastey Mein

Zamana Ekk Saa Jalib Sadda Nahin Rehta
Chalein Gay Hum Bhi Kabhi Sar Utha K Rastey Mein

Habib Jalib

Wednesday, 10 October 2012

Mein Koi Harf e Ghallat Hoon

Mein Koi Harf e Ghaltt Hoon K Mitaya Jaon
Jab Bhi Aaon Teri Mehfil Say Uthaya Jaon

Ekk Toota Hua Patta Hoon, Thikana Na Maloom
Janey Kab Tak Mein Fizaon Mein Urraya Jaon

Meri Takhleeq Ka Maqsood Yahi Hai Shaid
Aasmanon Se Zameen Pe Giraya Jaon

Phirr Koi Mout Ki Lori, Koi Uljha Hua Geet
Mein Bahot Dair Ka Jaga Hoon, Sullaya Jaon

Itna Bezar Na Ho Mujh Se K Wo Tara Hoon
Shakh e Mayzgaan Pe Sar e Sham Sajaya Jaon

Janey Kiss Jurrm Ki Padash Mein Hr Roz Saba
Hai Hallat Ki Suli Pe Charhaya Jaon

Sibt Ali Saba

Pinddar Kay Khogarr Ko

Pindar Kay Khugarr Ko Nakaam Bhi Dekho Gay?
Aaghaaz Se Waqiff Ho Anjaam Bhi Dekho Gay?
Rangini e Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana
Dukhta Hua Dill Le Kr Tanhai Mein Kho Janaa

Tarssi Hui Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena
Raton Kee Khamoshi Mein Chhup Kr Kabhi Ro Lena
Majboor Jawaani K Malboos Ko Dho Lena
Jazbaat Ki Wussaat Ko Sajdon Se Bassa Lena
Bhooli Hui Yaadon Ko Seeney Se Lagga Lena...!!!

Faiz Ahmad Faiz

Pata Girrey Shajjar Se

Patta Girrey Shajarr Se To Larza Hamein Ho Kion
Girton K Sath Girney Ka Khatka Hamein Ho Kion

Qaroon Hain Jo Zarr Ki Tawaquo Ho Un Se Kia
Aison Pe Iss Qabeel Ka Dhoka Hamein Ho Kion

Befaiz Rehbron Se Murratab Jo Ho Chali
Ahwal Ki Wo Shakl, Gawara Hamein Ho Kion

Milti Hai Kajjraon Ko Nafaz e Sitam Pe Jo
Aisi Saza Ka Ho Bhi To Khadsha Hamein Ho Kion

Rakhein Namo Ki Aas Bhalla Kion Chattan Se
Aison Se Iss Tarah Ka Taqazaa Hamein Ho Kion

Hm Hain Phuar Abr Ki, Buchar Ham Nahin
Sakhti Karein Kissi Pe, Ye Yara, Hamein Ho Kion

Beeja Hai Jo Uggey Ga Na Wo, Kasht e Khair Mein
Majid Gumman Jo Ho Bhi To Aisa Hamein Ho Kion

Majid Siddique

Dill Say Milla Kay Dill

Dill Se Milla Kay Dill Piar Kijeeye,
Koi Suhanaa Iqrar Kijeeye,
O Sharmanaa Kaisa, Ghabrana Kaisa,
Jeeney Se Pehley Marr Jana Kaisa,
Aanchlon Kee Chaaon Mein,
Rass Bharri Fizaon Mein,
Iss Zindagi Ko Gulzar Kijeey,

Dill Se Milla Kay Dill Piar Kijeeye,
Aati Baharein, Jaati Baharein,
Kab Se Kharri Hain Bandhey Qatarein,
Chhaa Rahi Hai Bekhudi,
Keh Rahi Hai Zindagi,
Jee Kee Umangein Baedaar Kijeeye

Dill Se Milla Kay Dill Piar Kijeeye,
Dill Se Bhulla Kay Ruswayion Ko,
Jannat Bana Le Tanhayion Ko,
Aarzu Jawann Hai,
Waqt Mehrbaan Hai,
Dill Ko Na Janey Hoshiyaar Kijeeye
Dill Se Milla Kay Dill Piar Kijeeye

Sahir Ludhianvi

Charagh e Jaan Ko Supurd e Hawa

Charagh e Jaan Ko Supurd e Hawa B Usnay Kia
Phirr Apney Aapko Waqf e Dua B Usney Kia

Mere Dukhon Ki Tallafi Bhi Uss Kay Piyar Ne Ki
Shaoor e Gham Se Mujhey Aashna Bi Uss Ney Kia

Diye Se Jaltey Rahay Dill Mein Uss Ki Yadon Kay
Shab e Safar Ko Bahot Khushnuma Bi Ussnay Kia

Kiya Ussi Nay Mujhey Arz e Haal Pr Majboo
Ye Sauz e Harf o Hikayat Aata Bhi Uss Ney Kia

Ussi Nay Zaher Dia Mujhko Khud Shanasi Ka
Mujhey Shikar e Azab e Anaa Bhi Usney Kia

Mein Apni Chup K Jazeerey Mein Qaid Tha Sajid
Mujhey To Waqif e Saut o Sadda Bhi Usney Kia

Tuesday, 9 October 2012

Itney Bhi Ghaflaton Ke Isharey Mere Na They


Itney B Ghaflaton K Isharey Mere Na Thay
Kuchh Hoon Gay, Pr wo Sarey K Sarey Mere Na Thay

Ab Takk Mere Naseeb Ko Hasil Wafain Hain
Jo Toot Kr Girrey Wo Sitarey Mere Naa Thay

Maslak Mera Wafa Hai Muhabbat Mera Kalam
Utterey Jo Nafraton K Wo Parey Mere Naa Thay

Tasleem Hai K Hari Hoon Dill Ki Larai Mein
Lekin Wahan Bhi Housley Harey Mere Naa Thay

Iss Waqat Khali Hath Hoon Mein Rah e Ishq Pr
Kaisey Yaqin Dillaon Khassarey Mere Na Thay

Mein Reh Gai Bhanwar Mein To Ehsas Ye Hua
Darya Mera Nahin Tha Kinarey Mere Na Thay

Mere Saharey Shahida Tootey Hain Jiss Tarah
Kamzor Iss Qadar To Saharey Mere Naa Thay

Mujhey Na Hosla Do

Mujhey Na Hosla 2 Aab Mujhe Nakaam Rehney 2
Nahin Dill Mein Saher To Zindagim Mein Shaam Rehney 2

Kiya Be Aasra Usne Akela Chhor Kr Mujh Ko
Merey Lab Pe Tum Ab Uss Bewafa Ka Naam Rehney 2

Mujhey Aadat C Hai Chup Chaap Saa Rehta Hoon Mein Aksar
Mujhey Peeney 2 Mere Hath Mein Bas Jaam Rehney 2

Khizaon Kay Mousamoon Ko Abb Baharon Ka Chaman Likhna
Baharon K Chaman Ko Ab Khizaon Ke Naam Rehney 2

K Dill K Faislay Pr Zindagi Nakaam C Thehree
Hua Badnaam Ye Dill Ab Issey Badnaam Rehney 2


Agr Jo Ho Sakey Mumkin To Khud Ko B Saza Dena
Agr Ho Bewafa To Khud Pe B Ilzaam Rehney 2

Mitta K Apni Hasti Ko Khudi Mein Hee Maggen Rehna
Jo Zinda Ho To Na Koi Adhora Kaam Rehney 2

Likho Aisi Ghazal In Bewafaon K Laye Munir
Tum Apney Aap Ko Bhi Shairon Mein Aam Rehney 2

Woh Hijjarr To Daita Hai Juddai Nahin Daita

Woh Hijarr To Daita Hai Juddai Nahi Daita
Kiya Tarfa Tamasha Hai Bhujai Nahi Daita

Mahsoos To Hota Hai Rag e Jaan Mein Hi Aksar
Woh Dard Ka Naghma Jo Sunnayi Nahi Daita

Hain Bhool Bhullaiyan Bhi Kay Rasta Nahi Milta
Ye Shehr e Sitamgarr Hai Rehai Nahin Deta

Tum Ne Kabi Socha Hai K Parwana e Nayab
Khamosh Hi Marta Hai Duhaayi Nahin Daita

Is Dabr e harabat Mein Nuksaan Yeh Sahir
Jo Deed Kay Qabill Hai Dikhai Nahin Daita

Sahir Rasool

Sunday, 7 October 2012

Iss Zindagi Se Phirr Bhi


Iss Zindagi Se Phirr B, Hamein Kuchh Gilla Nahin
Iss Bewafa Nay Chahey, Hamein Kuchh Diya Nahin

Thehro, Zarra To Thero K Kiss Simat Jao Gay
Toofan Dekhna K Abhi Tak Talla Nahin

Hargez Na Sarr Jhukka, Kissi Jabir K Samney
Zalim Hai Aor Bass K Wo Koi Khuda Nahin

Jewan K Seekh Jao Gay, Sab Dao Pech Tum
Neki Ka Iss Jahan Mein Koi Sillar Nahin

Taareef Kiya Karey Ga Falak Zindagi Ki Wo
Jiss Ko Gham e Hayat Se Kuch Wasta Nahin

Iss Shaher e Kharabi Mein


Iss Shaher e Kharabi Mein Gham e Ishq K Marey
Zinda Hain, Yahi Baat Bari Baat Hai Piyare

Yeh Hansta Hua Chaand Yeh Pur Noor Sittarey
Tabinda o Paind Hain Zarron Kay Saharey

Hassarat Hai Koi Ghuncha Hamein Piyar Se Dekhey
Armaan Hai Koi Phool Hamein Dill Se Pukarey

Hr Subha Meri Subha Pe Roti Rahi Shabnam
Hr Raat Meri Raat Pe Hanstey Rahey Tarey

Kuchh Aor B Hain Kaam Hamein Aye Gham e Janan
Kab Tak Koi Uljhee Hui Zulfoon Ko Sanwarey

Silsaley Tod Giya Woh


Silsaley Torr Giya Wo Sabhi Jatey Jatey
Warna Itney To Marasim Thay K Aatey Jatey

Shikwa e Zulmat e Shab Se To Kahen Behtar Tha
Apney Hissey Ki Koi Shama Jalatey Jatey

Kitna Aasan Tha Tere Hijr Mein Marna Janan
Phir B Ekk Umer Laggi Jaan Se Jatey Jatey

Jashan e Maqtal Hi Na Barpa Hua Warna Hm B
Pabajoolan Hi Sahi, Nachtey Gatey Jatey

Uss Ki Wo Janey Ussey Paas e Wafa Tha K Na Tha
Tum Apni Taraf Se To Nibhatey Jatey

Ab To Mumkin Hee Nahi - Urdu Poetry


Abb To Mumkin Hi Nahin Un Se Mullaqat Wasi
Ab To Uroj Pe Puhnchi Hai Uss Ki Zaat Wasi

Wohi Wa'day Hain Aor Rasmon Ki Zanjeerin Baqi
Kab Badlti Hain Zamaney Ki Riwayat Wasi

Ekk Wo Din Thay K Ekk Dooserey Ko Sochtey Thay Hm
Abb Miltey Nahin Donon Kay Khallayat Wasi

Meri Hr Subh Ka Aaghaz Tere Naam Se Ho
Teri Yaadon Mein Kattay Meri Hr Ekk Raat Wasi

Tum Kahan Aor Mere Piyar ka Meiyar Kahan
Wo Kitni Sadgi Se Keh Gaye Ye Baat Wasi

Mehfil Laggi Thi Bad Duaon Ki


Mehfil Laggi Thi Badduaon Kee
Hum Nay B Dill Se Kaha
Ussey Ishq Ho,,,,,,
Ussey Ishq Ho,,,,,,
Ussey Ishq Ho,,,,,,

Tu Milley To Koi Marz Nahin


Tum Milley To Koi Marz Nahin
Na Millay To Koi Dawaa Nahin

Younhi Mousam Ki Adda Dekh K


Younhi Mousam Ki Adda Dekh Kay Yaad Ayaa Hai
Kis Qaddar Jald Badal Jatey Hain Insan Janan

Ab Khouf Nahi Mujhe


Abb Khouf Nahin Mujhe Kissi Rehguzar Se
Mein Door Nikkal Aai Hoon Patharr Ke Nagarr Se
Wo Mujh Se Milley Gaa Kissi More Par Zaroor
Yeh Baat Mujhey Maaloom Hai Aaghaz e Safar Se
Jaisi B Hoon Achhi Ya Burri Apney Laye Hoon
Mein Khud Ko Nahin Dekhti Aoron Ki Nazar Se

Mallaim Hath Kham Zulf


Mallaim Haath, Kham Zulf, Addaye Nain Aor Hont
Qattal Baqi Hai Aozar To Sab Purey Hain

Friday, 5 October 2012

Wohi Mahfooz Rakhey Gaa


Wohi Mahfooz Rakhey Gaa Tere Gharr Ko Ballaon Se
Jo Barish Mein Shajarr Se Ghounsla Girney Nahi Deta

Dill Ko Kiya Ho Giya Khuda Jane


Dill Ko Kiya Ho Giya Khuda Janey
Kion Hai Aisa Uddas Kiya Janey

Keh Diya Mein Ne Haal e Dill Apna
Uss Ko Tum Jano Ya Khuda Janey

Jantey Jantey Hee Janey Gaa
Mujh Mein Kiya Hai Abhi Wo Kiya Janey

Tum Naa Pao Gey Sadaa Dill Mujh Saa
Jo Taghafful Ko Bhi Haya Janey

Mein Hee Mein Thaa Wajood Mein Apney


Mein Hee Mein Thaa Wajood Mein Apney
Mere Honey Mein Phirr Kamii Kiya Thee?

Noor Hee Noor Thaa Andherey Mein
Woh Sarr e Daar Roshni Kiya Thee?

Donon Ghamm Thay Algg Algg Yaani
Mera Matamm, Teri Hansi Kiya Thee?

Aaye Shahzadi e Hussan


Aaye Shahzadi e Hussan
Gr De Ijjazat Mujh Ko
To Mathey Ka Terey
Ekk Hussan Zarra Le Loon
Aor
Raat Ke Mathey Pe
Ekk Chaand Bana Dalon

Hum Nazek Nazek Dil Wale

Hum Nazuk Nazuk Dil Wale
Bas Aisey Hee To Hote Hain
Kabhi Hanstey Hain, Kabi Rote Hain
Kabi Dill Mein Khawab Parotey Hain
Kabhi Mehfil Mehfil Phirrtey Hain
Kabi Zaat Mein Tanha Hote Hain
Kabhi Chup Ki Moher Sajjate Hain
Kabhi Geet Labon Pe Late Hain
Kabhi Sab Ka Dil Behlate Hain
Kabhi Khud Hi Tanha Hote Hain
Kabi Shab Bharr Jagte Rehtey Hain
Kabhi Lambi Taan K Sotey Hain
Ham Nazuk Nazuk Dil Waley
Bas Aisey Hee To Hotey Hain

Wednesday, 3 October 2012

Ab K Tajdeed e Wafa Ka Nahin Imkan


Abb K Tajdeed e Wafa Ka Nahi Imkan Janan
Yaad Kiya Tujh Ko Dillain Tera Paiman Janan

Younhi Mousam Ki Adda Dekh K Yaad Aya Hai
Kis Qadar Jald Bhool Jatey Hain Insan Janan

Zindagi Teri Atta Thi So Tere Naam Ki Hai
Hm Ne Jaisey Bhi Bassar Ki Tera Ehsan Janan

Dill Ye Kehta Hai Shaid Ho Afsurdda Tu Bhi
Dill Ki Kia Baat Karein, Dill To Hai Nadan Janan

Advertisement