Thursday, 11 October 2012

Na Dagmaggaye Kabi Hm Wafa K Rastey Mein

Na Dagmaggaye Kabhi Hum Wafa K Rastey Mein
Gharagh Hum Nay Jalaye Hawa Kay Rastey Mein

Kissey Lagaye Galley Aor Kahan Kahan Thehrey
Hazar Ghuncha O Gull Hain Saba Kay Rastey Mein

Khuda Ka Naam Koi Le To Chonk Uthhtey Hain
Milley Hain Hum Ko Wo Rahber Khuda K Rastey Mein

Kahein Salasil Tasbeeh Aor Kahein Zannar
Bichhey Hain Daam Bahot Mudda K Rastey Mein

Abhi Wo Manzil e Fikr O Nazr Kahan Aai
Hai Aadmi Abhi Jurm O Saza K Rastey Mein

Hain Aaj Bhi Wohi Dar O Rassn Wohi Zandan
Hr Ekk Nigah e Ramooz Aashna K Rastey Mein

Yeh Nafrton Ki Faseelin, Jahalton K Hassar
Na Reh Saken Gay Hamari Sadda K Rastey Mein

Mitta Sakey Na Koi Sail e Inqalab Jinhein
Wo Naqsh Chhorey Hain Hm Ne Wafa K Rastey Mein

Zamana Ekk Saa Jalib Sadda Nahin Rehta
Chalein Gay Hum Bhi Kabhi Sar Utha K Rastey Mein

Habib Jalib

No comments:

Post a Comment

Advertisement