Showing posts with label Ahmed Faraz. Show all posts
Showing posts with label Ahmed Faraz. Show all posts

Sunday, 1 December 2013

Mein To Maqtal Mein Bhi Qismat Ka Sikandar


Roman Urdu      رومن اردو

Mein To Maqtal Mein Bhi Qismat Ka Sikandar Nikla
Qurra e Faal Merrey Naam Ka Aksar Nikla

Tha Jinehin Zo’om Wo Darya B Mujhi Mein Doobey
Mein K Sehra Nazar Aata Thaa Sumandar Nikla

Sab Qareeney Ussi Dildar K Rakh Detey Hain


Roman Urdu      رومن اردو

Sab Qareeney Ussi Dildar K Rakh Dete Hain
Hm Ghazal Mein Bhi Hunar Yaar K Rakh Dete Hain

Shaid Aa Jain Kabhi Chasham e Kharidar Mein Ham
Jaan O Dill Beech Bazaar Mein Rakh Dete Hain

Saturday, 23 November 2013

Dukh Fassana Nahein Kay Tujh Se Kahein


Roman Urdu   رومن اردو

Dukh Fasana Nahien K Tujh Se Kahein
Dill Bhi Mana Nahien Keh Tujh Se Kahein

Aaj Takk Apni BeKalli Ka Sababb
Khud Bhi Jana Nahin Keh Tujh Se Kahein

Saturday, 16 November 2013

Wednesday, 6 November 2013

Barson Kay Baad Daikha Shakhs Dilrubba Saa


Roman Urdu      رومن اردو

Barson Kay Baad Daikha Shakhs Dilrubba Saa
Abb Zehn Mein Nahien Hai Parr Naam Thaa Dilrubba Saa

Abru Khichey Khichey Say Aankhein Thee Jhukki Jhukki See
Batein Thee Rukki Rukki See Lehja Thaa Thakka Thakka Saa

Alfaaz Thay Jugnu Awaz Kay Safar Mein
Bann Jayey Janglon Mein Jiss Tarah Rasta

Shikast By Ahmed Faraz


Roman Urdu                رومن اردو


Barahaa Mujh Se Dil Nay Kaha Aye Shoobdagar
Tu Keh Alfaaz Sey Asnaamgiri Karta Hai
Kabhi Iss Hussn e Dill Aara Ki Bhi Tasveer Bana
Jo Teri Soch Kay Khakon Mein Lahoo Bharta Hai
Barha Dill Nay Yeh Aawaz Sunni Aor Chaha

Thursday, 24 October 2013

Aisa Nahein Kay Hum Ko Mohabbat Nahin Milli

Roman Urdu             رومن اردو

Aisa Nahein Kay Hum Ko Mohabbat Nahin Milli
Tumhein Chahtey Thay, Par Terie Ulfat Nahin Milli

Milney Ko Zindagi Mein To Kai Hamsafar Milley
Parr Unn Kee Tabiat Sey Tabiat Nahin Milli

Wednesday, 10 July 2013

Thursday, 13 December 2012

Ab Orr Kiya Kisi Se Marasim



Ab Aor Kiya Kissi Se Marasim Barhain Hm
Yeh Bi Bahot Hai Tujh Ko Agr Bhool Jain Hm

Sehraye Zindagi Mein Koi Doosra Na Thaa
Suntey Rahey Hain Aap Apni Saddain Hm

Wednesday, 5 December 2012

Har Koi Dill Ki Hathaili Pe Hai


Harr Koi Dill Ki Hathaili Pe Hai Sahera Rakhey
Kiss Ko Sairaab Karey Woh Kissey Piyasa Rakhey

Umer Bharr Kon Nibhata Hai Ta'alluq Itna
Aey Meri Jaan K Dushman Tujhe Allah Rakhey

Khuab Martey Nahin


Khawab Martey Nahin
Khuab Dill Hain Naa Aankhien Na Shaamein K Jo
Raiza Raiza Houey To Bikhar Jain Gey
Jism Ki MOut Se B Ye Marr Jain Gey
Khaab Martey Nahin,

Saturday, 20 October 2012

Aankhon Mein Sitarey


Aankhon Mein Sittarey To Kai Shaam Se Uttrey
Pr Dill Ki Uddasi Naa Dar o Baam Se Utrey

Kuchh Rangg To Ubhrey Teri Gull Perhni Ka
Kuchh Zang To Aaina e Ayyam Se Uttrey

Sunday, 7 October 2012

Silsaley Tod Giya Woh


Silsaley Torr Giya Wo Sabhi Jatey Jatey
Warna Itney To Marasim Thay K Aatey Jatey

Shikwa e Zulmat e Shab Se To Kahen Behtar Tha
Apney Hissey Ki Koi Shama Jalatey Jatey

Kitna Aasan Tha Tere Hijr Mein Marna Janan
Phir B Ekk Umer Laggi Jaan Se Jatey Jatey

Jashan e Maqtal Hi Na Barpa Hua Warna Hm B
Pabajoolan Hi Sahi, Nachtey Gatey Jatey

Uss Ki Wo Janey Ussey Paas e Wafa Tha K Na Tha
Tum Apni Taraf Se To Nibhatey Jatey

Younhi Mousam Ki Adda Dekh K


Younhi Mousam Ki Adda Dekh Kay Yaad Ayaa Hai
Kis Qaddar Jald Badal Jatey Hain Insan Janan

Wednesday, 3 October 2012

Ab K Tajdeed e Wafa Ka Nahin Imkan


Abb K Tajdeed e Wafa Ka Nahi Imkan Janan
Yaad Kiya Tujh Ko Dillain Tera Paiman Janan

Younhi Mousam Ki Adda Dekh K Yaad Aya Hai
Kis Qadar Jald Bhool Jatey Hain Insan Janan

Zindagi Teri Atta Thi So Tere Naam Ki Hai
Hm Ne Jaisey Bhi Bassar Ki Tera Ehsan Janan

Dill Ye Kehta Hai Shaid Ho Afsurdda Tu Bhi
Dill Ki Kia Baat Karein, Dill To Hai Nadan Janan

Tuesday, 21 August 2012

Bikher Rahey Hain Meri Zindagi - Urdu Poetry


Bikher Rahey Hain Meri Zindgi K Tamam Warq
Najaney Kab Koi Aandhi Urra K Lay Jaye
Mein Kab Tak Doosron K Dukh Sambhal K Rakhon Faraz
Jis Jis Kay Hain Wo Nishani Bata Kay Lay Jaye

Sunday, 19 August 2012

Uss Se Milney Ko Kabhi - Urdu Poetry


Us Se Milney Ko Kabhi Hm Jo Machal Jate Hain
To Khialon Mein Bahot Door Nikal Jate Hain

Gr Muhabbat Mein Sadaqat B Ho Shiddat B
Phir To Ehsas Se Pathar B Pighal Jate Hain

Uss Ki Aankhon Ke Nashey Mein Hoon Jb Se Dooba
Larkhrate Hain Qadam, Sambhal Jate Hain

Bewafa Ka Jb Bhi Mujhe Khiyal Aata Hai
Ashk e Aankhon Se Rukhsar B Pighal Jate Hain

Piar Mein Ek Mousam Hai Baharon Ka Faraz
Log Mousam Ki Tarah Kaise Badal Jate Hain

Saturday, 30 June 2012

Tum Jaisey


Gull B Gulshan Mein Kahan Ghuncha e Dahan Tm Jaise
Koi Kiss Munh Se Karey Tum Se Sukhan Tm Jaise

Ye Mera Hussn e Nazr Hai To Dikha De Koi
Qaamat O Gaisoo O Rukhsar O Dahan Tm Jaise

Ab To Qasid Se B Hr Baat Jhijk Kr Kehna
Le Gae Ho Mera Be Sakhtapan Tm Jaise

Ab To Nayab Huey Dushman Deeran Tak
In Kahan Aaye Mere Yaran e Kuhen Tm Jaise

Kbhi Hm Pr B Ehsaan Ke Banna Dete Ho
Aapni Aamd Se BiabaN Ko Chaman Tm Jaise

Kabhi In Lala Qabaon Ko B Dekha Hai Faraz
Pehne Phirte Hain Jo Khawabon Ke Kafan Tum Jaise

Ahmad Faraz

Khawaab Martey Nahein


Khawaab Martey Nahein
Khawaab Dill Hain, Na Aankhen, Na Shamen K Jo
Reza Reza Huwy To Bikhr Jain Ge
Jsm Kee Mout Se Ye B Mar Jain Ge
Khawaab Martey Nahein
Khawaab To Roshni Hain, Nawahen Hain, Hawa Hain
Jo Kaley Paharon Se Rukte Nahin
Zulm K Dozkhon Se B Phukte Nahin
Roshni aor Nawa Aor Hawa Ke Allam
Maqtlon Mein Puhnch Kr B Jhukte Nahin
Khawaab To Harf Hain
Khawaab To Noor Hain
Khawaab To Suqrat Hain
Khawaab To Mansoor Hian


Ahmad Faraz

Us Se Milne Ko Kabi Hum


Us Se Milne Ko Kabi Hm Jo Machl Jate Hain
To Khialon Mein Bahot Door Nikl Jate Hain

Gr Mohbt Mein Sadaqat B Ho Shiddat B
Phr To Ehsas Se Pthr B Pighl Jate Hain

Us Ki Aankhon Ke Nashey Mein Hoon Jab Se Dooba
Larkhrate Hain Qadam Sambhal Jate Hain

Bewafa Ka Jb B Mujhe Khial Aata Hai
Ashk Aankhon Se Rukhsar B Pighl Jate Hain

Piar Mein Ek He Mousam Hai Bahron Ka Faraz
Logg Mousam Kee Tarah Kaise Badal Jate Hain

Advertisement