Friday, 31 August 2012

Barish - Urdu Poetry


Barish

Ye Barish Khubsurat Hai
Ekk Arsey Ba'd
Meri Rooh Mein
Saerab Hone Ki Tamana Jaag Uthhi Hai
Magar Badall Ke Rastey Mein
Bahot Se Pedr Aatey Hain
Mein Pall Bhr Kaylaye Shadab Hoon
Aor Apni Baqi Umr
Phir Sehra Mein Katoon
Mein Apni Pias Par Razi Rahon Gi
Mere Aansoo Mere Dill 
Ki Kafalat Kaylaye Kafi Rahen Gay

Parveen Shakir

Friday, 24 August 2012

Shikwah - Urdu Poetry


Shikwah

Suno
Mujhe Dukh Iss Baat Ka Nahi
K Meri Zaat Ko Muntashir Karne Wale
Hath Tere Thay
Mujhey Dukh Faqat Iss Baat Ka Hai
Meri Reza Reza Zaat Ko Samteney Wale
Hath Tere Nahi Thay

Jis Din Kitab e Ishq


Jiss Din Kitab e Ishq Ki Takmeel Ho Gayie
Rakh Dain Gay Zindagi Tera Basta Utar Kar

Bahot Nazdeek Ho Kar Bhi


Bahot Nazdeek Ho Kr B Wo Itna Door Hai Mujh Se
Ishara Ho Nahi Sakta, Pukara Jaa Nahi Sakta

Milnay Ka Waada - Urdu Poetry


Milnay Ka Waada Unn Kay Munh Se To Nikl Giya
Poochi Jaga o Hans Kay Kaha Khawabon Mein Aa Jana

Mana Kay Tum


Mana Kay Tum Guftagu Kay Mahir Ho
Wafa Kay Lafz Pe Atko To Yaad Kr Lena

Dill Hi To Hai - Urdu Poetry


Dill Hi To Hai Iss Ko Koi Sataye Kion
Sataye To Phir Shiddat e Gham Se Bhar Na Aaye Kion

Dill Todney Waley Sada Bekal Hi Rahey
Muhabbat Ko Umr e Khizar Lag Na Jaye Kion

Gardish e May - Urdu Poetry



Garishh E Maye Kay Hum Nahin Paband
Eid Kar Lein Gay Jb Millo Gay Gum

Tujh Se Mansoob Huey - Urdu Poetry


Tujh Say Mansoobb Huey To Yeh Hasrrat Hi Rahi
Hm Bhi Kabhi Apney Hawaley Se Pukarey Jatey

Muqadar - Urdu Poetry


Muqadar

Tum Woh Lardki Ho
Jiss Nay Maikey Mein Khushiyan Dekhi
Lekin Sussraal Mein Ja Kr Tum Se
Hr Ekk Khushi ROoth Gayi

Tuesday, 21 August 2012

Suno ! Ab Kuch Dino Se - Urdu Poetry


Suno...!!!!
Ab Kuch Dino Se Haal Aisa Hai
Koi Kitni B Zillat Day
Koi Jitni Raunat Se Hamen Rondey
Burra Bilkul Nahi Lagta
Gilla Koi Nahi Hota
Sakoon Mahsoos Hota Hai
Dua Lab Se Nikalti Hai...!!!

Yaqeen Hai K Naa Aain Gay - Urdu Poetry


Yaqeen Hai K Na Aaien Gay Mujh Se Wo Milney
To Phir Ye Dill Ko Mere Intezar Kaisa Hai...

Bikher Rahey Hain Meri Zindagi - Urdu Poetry


Bikher Rahey Hain Meri Zindgi K Tamam Warq
Najaney Kab Koi Aandhi Urra K Lay Jaye
Mein Kab Tak Doosron K Dukh Sambhal K Rakhon Faraz
Jis Jis Kay Hain Wo Nishani Bata Kay Lay Jaye

Abhi Tak Sada Rakha Hai - Urdu Poetry


Abhi Tak Sada Rakha Hai Ye Kaghaz Apni Chahat Ka
Munasib Jab Samjhen Gay Koi Paigham Likh Dein Gay
Koi Paigham Kia Likhna Hai Ekk Chotey Se Kaghaz Par
Jissey Hum Chahtey Hain Bas Ussi Ka Naam Likh Dein Gay

Ab K Saal Phoolon Pe - Urdu Poetry


Ab Kay Saal Phoolon Pe Kaisy Lahoo Ki Shabnam Hai
Bahar Dard Ki Mehki To Zakhmon Ki Khushbu Se

Millein Gi Hum Ko Bhi


Milen Gi Hum Ko Bhi Apney Nasib Ki Khushiyan
Bus Intezar Hai, Kab Ye Kamal Hona Hai

Sunday, 19 August 2012

Ager Wo Badshah Hota - Urdu Poetry


Ager Wo Badshah Hota
To Koi Baat Bhi Hoti
Sunna Hai Badshahon Ko
Dein Koi Aisa Nazrana
Jo Sab Cheezon Se Barh Kr Ho
To Apni Badshahi Tak  
Lutta Dete Hain Wo Aksar
Muhabbat Hai Hamare Paas
Magar Wo Badshah Kab Hai

Meri Ghazlon Ko Sun Kar Kia Milley Ga - Urdu Poetry


Meri Ghazlon Ko Sun Kar Kia Milley Ga
Faqat Afsurrdagi, Mujh Ko Yaqeen Hai

Mere Ashaar Mein Batein Hain Uss Ki
Tumharey Kaam Ka Kuch Bhi nahi Hai

Muhabbat Naam Hai Jis Ka - Urdu Poetry


Muhabbat Naam Hai Jisska Wo Aisi Qaid Hai
Kay Umerain Beet Jati Hain, Saza Puri Nahi Hoti

Mujhe Na Satao Inta - Urdu Poetry


Mujhe Na Satao Itna K Mein Rooth Jaon Tum Se
Mujhe Achha Nahi Lagta Apni Sanson Se Judda Hona

Uss Se Milney Ko Kabhi - Urdu Poetry


Us Se Milney Ko Kabhi Hm Jo Machal Jate Hain
To Khialon Mein Bahot Door Nikal Jate Hain

Gr Muhabbat Mein Sadaqat B Ho Shiddat B
Phir To Ehsas Se Pathar B Pighal Jate Hain

Uss Ki Aankhon Ke Nashey Mein Hoon Jb Se Dooba
Larkhrate Hain Qadam, Sambhal Jate Hain

Bewafa Ka Jb Bhi Mujhe Khiyal Aata Hai
Ashk e Aankhon Se Rukhsar B Pighal Jate Hain

Piar Mein Ek Mousam Hai Baharon Ka Faraz
Log Mousam Ki Tarah Kaise Badal Jate Hain

Hawa Tum Sab Janti Ho - Urdu Poetry


Hawa
Tum Janti Ho Sab
K Mein Raat K Pichley Paher
Chupke Se Sari Dastan Tm Ko Sunati Thee
Tumhen To Yaad Hi Ho Ga
Tabhi
Jb Lafz Mere Dard Ki Shidat Se Ghail The
Meri Sochein
Jb Uss Ki Chaap K Pichey Gyie Thein To
Hawa Tm Ne Hi Mera Bhigta Pallu Sukhaya Tha
Hawa Tm Sun Rahi Thein Naan K Jb Uss Ne Kaha Tha
Muntazi Rehna, Mein Aaon Ga
Hawa Tm To Gawah Hi Ho, K Tab Se Ab Talak
In Raston Se
Meri Aankhon K Diye Bujh Nahi Paye
Hawa...Tum To Ussi K Raston Se Ho K Aai Ho
Hawa...
Wo Aa Raha Tha Naan..!!!
Hawa...!!!

Saturday, 18 August 2012

Aansoo Ka Ek Qatra - Urdu Poetry


Aansoo

Aansoo Ka Ekk Qatra
Aor Pani Ki Ekk Boond
Shakl Shabahat Ek Jaisi Lekin
Dono Ki Hai Hayat Kitni?
Phailte Hi, Tapkatey Hi
Ekk Lamhey Ko Thehrtey Hi
Agley Lamhey Kho Jana, Fana Ho Jana
Farq Sirf Itna Hai Inn Mein
Pani Ki Ek Bond, Ye Dhabay Ka Gumman De Jaye!
Aor Aansoo Ka Qatra, Jazbat Ka Biyan De Jaye!

Lakirein Jhoot Bolti Hain-Urdu Poetry

Jab Wo Mera Naam
Apney Hathon Ki Lakiron Mein
Talash Kar K Thak Gai
To Dheerey Se Sar Jhukaya
Aor Muskra K Kaha
Lakirein Jhoot Bolti Hain

Bana Ke Chod Detey Hain


Bana Ke Chord Detey Hain Wo Apney Wajood Ka Aadi
Kuch Log Iss Tarah Se B Muhabbat Ka Silla Detey Hain

Suno Aisa Nahi Karte - Urdu Poetry


Safar Tanha Nahi Karte...
Suno, Aisa Nahi Karte !!
Jissey Shafaf Rakhna Ho !
Ussey Mailla Nahi Karte
Teri Aankhen Ijjazat Agr Dein
To Hm Kiya Nahi Karte
Bahot Ujjarey Hue Ghar Pr
Bahot Socha Nahi Karte
Safar Jiss Ka Muqadar Ho
Ussey Roka Nahi Karte !
Kabi Hansney Se Dartey Hain
Kabhi Roiya Nahi Karte
Teri Aankhon Ko Parhtey Hain
Tujhe Dekha Nahi Karte
Saher Se Pooch Lo Mohsin
K Hm Soya Nahi Karte

Phir Youn Hua-Urdu Poetry


Phir Youn Hua Ke Sath Tera Chorna Para
Sabit Hua Ke Lazim O Malzoom Kuch Nahi

Tamam Umer Ki Awargi - Urdu Poetry


Tamam Umer Ki Awargi Pe Bhari Hai
Wo Ekk Shab Jo Teri Yaad Mein Guzari Hai

Jis Jagah Ghar Tha - Urdu Poetry


Jiss Jagah Ghar Tha, Bas Ab Khak See Urrti Hai Wahan
Dhoondney Waley..! Bahot Der Se Dhoonda Hai Mujhe

Band Muthi Se Jo Urr Jati Hai - Urdu Poetry


Band Muthi Se Jo Urr Jati Hai Qismat Ki Pari
Iss Hatheili Mein Koi Chhaed Purran Ho Gaa

Teri Yaad Ka Mousam - Urdu Poetry

Kitney Mousam Aaye Aor
Phr Chaley Gaey
Gram Thaperey Lao Ke Hoon Ya
Barish Ho...
Pat Jhar Ya Phir
Mousam e Gull
Hijrat Hee Nahi Karta
Teri Yaad Ka Mousam...

Pal Bhar Wo Chasham e Tar Se - Urdu Poetry


Pall Bhar Wo Chasham E Tar Se Mujhe Dekhta Raha
Phir Uss K Aansoun Se Meri Aankh Bhar Gayi

Wo Mere Paas Se Guzar - Urdu Poetry


Woh Mere Paas Se Guzar, Na Dil Dhadka Na Lab Larzey
Qayamat Hai Khamoshi Se Qayamat Ka Guzar Jana

Tuesday, 14 August 2012

Woh Aor Hoon Gey


Woh Aor Hoon Gey Jinhen Teri Zaat Se Hai Gharz
Hm To Hr Dour mein Millen Gey Tujhe Bematlab Ho Kr

Yeh Jhoot Hai


Yeh Jhoot Hai K Muhabbat Kissi Ka Dil Torti Hai
Log Khud Hi Toot Jate Hain, Muhabbat Karte Karte

Kiyal e Zeest


Aksar Mein Sochta Hoon
Tere Honton Ki Wo Batein
Teri Woh 
Dilnasheen Aankhen,
Sarey Tere Piyar K Lamhey
Teri Aahat, Teri Yadein
Mein Aksar Sochta Hoon K
Ye Pal Kaise Bitaon Gaa
Kaisey Apna Banaon Gaa
Tumhen Kaisey Bhulaon Gaa

Monday, 13 August 2012

Meri har khushi Tere Nam ho


Meri Har Khushi Tere Naam Ho,
Teri Har Ghami Mere Naam Ho, 

Meri Chahton K Mehrban,
Meri Zindagi Tere Naam Ho,

Teri Har Adda Pe Ho Jaon Fidda,
Teri Har Nazar Ko Sallam Ho,

Mein Hans K Pi Loon Ga Zehar Bhi,
Jo Tere Hathon Ka Jaam Ho,

Sirf Teri Chahat Mein Aye Dost
Meri Umer Younhi Tamam Ho,

Wednesday, 8 August 2012

Dill Lagi Na Ho Jaye - Urdu Poetry


Dil Lagi Na Ho Jaye Kissi Se Ye Khiyal Karna
Din To Guzar Jata Hai, Raten Maar Deti Hain.

Monday, 6 August 2012

Tajdeed e Ahed e Wafa


Tajdeed e Ahed e Wafa
Phir Koi Muhabbaton Ki Amr Bail
Rooh Mein Ghir Karti Hogi
Kali Rain K Roshan Sitaray
Aankhon Mein Bithana Hoon Gay
Qaol Sach Nibhana Hoon Ge
Anna K Butt Girana Hoon Ge

Aor Zamanat Wafa Ki - Urdu Poetry


Aor Zamanat Wafa Ki Kia Ho Gee
Tum Meri Sans Girvi Rakh Lo Naa

Woh Bewafa Na Tha - Urdu Poetry


Woh Bewafa Na Tha, Younhi Badnam Ho Giya
Hazaron Chahney Walay Thay, Kis Kis Se Wafa Karta

Ab K Barish Mein - Urdu Poetry


Ab Kay Barish Mein
Kuchh Aisa Karna,

Apni Hatheili Pe
Qatron Ko Jamma Karna,

Jo Jamma Ho Jain
Wo Sb Teri Chahat Hain

Aor Jo Rah Jain,
Wo Sb Meri Chahat Hain,

Wo Larki - Urdu Poetry


Wo Larki Jo Roshni Ki Shaedai Thee
Suraj Kehtey Kehtey Rakh Hui

Sunday, 5 August 2012

Ehsas e Muhabbat Ki Mithaas - Urdu Poetry


Ehsas e Muhabbat Ki Mithaas Se Mujhe Agah Na Kar
Ye Wo Zahir Hai Jo Mein Pehley B P Chukka Hoon

Mujhe Bhi Ainey Jaisa - Urdu Poetry


Mujhe B Ainey Jaisa Kamal Hasil Hai
Mein Toot'ta Hoon To Phir Beshumar Hota Hoon

Muhabbat Hath Mein Pehni - Urdu Poetry


Muhabbat Hath Mein Pehni Hui Choori Ki Manind Hai
Sanwarti Hai, Khankti Hai, Khank Kr Toot Jati Hai

Muhabbat Ziddi Hai


Intezar......
Shaid Muhabbat Ka Naseeb Hai
Lekin Jab Muhabbat Intezar karti Hai
Lamhey Tham Jatey Hain
Zamaney Rukk Jatey Hain
Muhabbat Ziddi Hai
Aakhri Sans, Aakhri Dharkan
Aakhri Pal Tak Intezar Kar Sakti Hai
Aor Kabhi Kabhi.......
Iss Ke Ba'ad B......

Thursday, 2 August 2012

December Mujhe Raas Aata Nahi


Kayi Saal Guzrey...
Kayi Saal Beetay...
Shab--O--Roz Ki Gardishon Ka Tasalsul
Dill o Jaan Mein Saanson Ki Partein Ultatey Huey
Zalz-zalon Ki Tarah Hanpta Hai...!
Cheekhtay Huey Khawab
Aankhon Kee Nazuk Ragein Chheeltey Hain
Magr Mein Hr Ek Saal Kee Goed Mein
Jagtee Subaha Ko
Bay Karaan Chahton Se Atti Zindgi Kee Dua Day Kr
Ab Tak Wohi Justaju Kr Raha Hoon
Safar Zindagi Hai

Advertisement