Showing posts with label Urdu Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Urdu Ghazal. Show all posts

Monday, 6 January 2014

Aye Ishq Tu Gard e Safar Bana


Roman Urdu   رومن اردو

Aye Ishq Tu Gard e Safar Bana, Terri Aor Bhalla Tauqeer Hai Kiya
Tu Khud Hi Hassarat Ka Maara, Terra Khaab Hai Kia Taabeer Hai Kiya

Aye Ishq Tu Bikta Rehta Hai Kabhi Rahon Mein Kabhi Banhon Mein
Tu Bojh Hai Dil Ki Duniya Ka Merrey Wastey Tu Jageer Hai Kiya

Sunday, 1 December 2013

Ekk Tamasha Sa Mujh Mein


Roman Urdu      رومن اردو

Ekk Tamasha Sa Mujh Mein Bappa Reh Giya
Mera Saya Mujhey Dhoondta Reh Giya

Munqasam Youn Hoon Zakhmon Ki Taqseem Se
Chaak Dar Chaak Hoon Kuchh Bacha Reh Giya

Abhi Uss Taraf Naa Nigah Kar


Roman Urdu      رومن اردو

Abhi Iss Taraf Na Nigah Kar Mein Ghazal Ki Palkein Sanwar Loon
Merra Lafz Lafz Ho Aaina Tujhe Aainey Mein Uttar Loon

Mein Tamam Din Ka Thakka Hua Tu Tamam Shab Ka Jagga Hua
Zarra Thehr Jaa Issi More Par Terrey Sath Shaam Guzaar Loon

Mein To Maqtal Mein Bhi Qismat Ka Sikandar


Roman Urdu      رومن اردو

Mein To Maqtal Mein Bhi Qismat Ka Sikandar Nikla
Qurra e Faal Merrey Naam Ka Aksar Nikla

Tha Jinehin Zo’om Wo Darya B Mujhi Mein Doobey
Mein K Sehra Nazar Aata Thaa Sumandar Nikla

Sab Qareeney Ussi Dildar K Rakh Detey Hain


Roman Urdu      رومن اردو

Sab Qareeney Ussi Dildar K Rakh Dete Hain
Hm Ghazal Mein Bhi Hunar Yaar K Rakh Dete Hain

Shaid Aa Jain Kabhi Chasham e Kharidar Mein Ham
Jaan O Dill Beech Bazaar Mein Rakh Dete Hain

Friday, 29 November 2013

Dastras Sey Apni Wo Baher Ho Gay


Roman Urdu      رومن اردو

Dastras Se Apni Wo Bahar Ho Gaye
Jab Se Hum Un Ko Muyassar Ho Gaye

Shaher e Khooban Ka Yahi Dastoor Hai
Murr Kay Daikha To Pathar K Ho Gaye

Day Giya Koun Ye Phir Zakham


Roman Urdu      رومن اردو

Day Giya Kon Yeh Phir Zakham e Shanasai Mujhe
Dasht e Ghurbat Mein Bhi Chhorey Gee Na Ruswai Mujhe

Ajnabi Miltey Hain Rahon Mein Bichar Jatey Hain
Qafley Dard K De Jatey Hain Tanhai Mujhey

Dil e Hazeen Ko Mohabbat Kay Jaal Mein Rakha


Roman Urdu      رومن اردو

Dil e Hazeen Ko Mohabbat K Jaal Mein Rakha
Terri Nazar Nay Hamein Aisi Chaal Mein Rakha

Khuda Ka Shukr Mein Sabit Qadm Rahi Har Damm
Mohabbaton Nay Mujhe Jiss Bhi Haal Mein Rakha

Dil Mein Bikhery Huey Jaalon Se


Roman Urdu      رومن اردو

Dil Mein Bikherey Huey Jalon Se Pareshan Na Ho
Mere Guzrey Huey Saalon Se Pareshan Na Ho

Meri Awaz Ki Talkhi Ko Gawara Kar Lay
Mere Gustakh Sawalon Se Pareshan Na Ho

Thursday, 28 November 2013

Dil Youn Dharka Keh Pareshan Hua


Roman Urdu      رومن اردو

Dill Youn Dharka Keh Pareshan Hua Ho Jaisey
Koi Bedhiyani Mein Nuqsaan Hua Ho Jaisey

Rukh Badlta Hoon To Shah Ragg Mein Chubhan Hoti Hai
Ishq Bhi Jang Kaa Maidaan Hua Ho Jaise

Din Kuchh Aisey Guzarta Hai Koi


Roman Urdu      رومن اردو

Din Kuchh Aisey Guzaarta Hai Koi
Jaisey Ehsaan Uttarta Hai Koi

Aaina Daikh Kar Tasalli Hui
Hum Ko Iss Gharr Mein Janta Hai Koi

Dosron Mein Zindagi Kay Zaiqey Bantey Gaye



Roman Urdu      رومن اردو

Doosron Mein Zindagi K Zaiqey Bantey Gaye
Doston Mein To Faqt Shikway Gilley Bantey Gaye

Pehley To Chheni Gai Aankhon Se Beenai Yahan
Aor Phir Sarey Nagar Mein Aainey Bantey Gaye

Dukhon Mein Aansuon Ko Sadda Qareeb Paya


Roman Urdu      رومن اردو

Dukhon Mein Aansoun Ko Sadda Qareeb Paya Hm Nay
Younhi To Nahin Inn Ko Apna Mehboob Banaya Hum Nay 

Wednesday, 27 November 2013

Dushman Ho Koi Dost Ho Parkha Nahin


Roman Urdu      رومن اردو

Dushman Ho Koi Dost Ho Parkha Nahien Kartey
Hum Khaaknasheen Zarf Ka Souda Nahin Kartey

Ekk Lafz Jo Keh Dein To Wohi Lafz Hai Aakhir
Kat Jaye Zabban Baat Ko Badla Nahin Kartey

Tuesday, 26 November 2013

Dukh Dard Kay Maron Se Merra Zikar


Roman Urdu     رومن اردو

Dukh Dard Kay Maron Sey Mera Zikar Na Karna,
Ghar Jao To Yaaron Se Mera Zikar Na Karna

Wo Zabt Na Kar Pain Ge Ankhon K Samandar,
Tum Raah Guzaron Sey Mera Zikar Na Karna 

Monday, 25 November 2013

Dar O Deewar Ki Zanjeer Se Aazad Ho Jana


Roman Urdu   رومن اردو

Dar O Deewar Ki Zanjeer Sey Aazad Ho Jana
Jannoon Ab Chahta Hai Dasht Mein Abad Ho Jana

Nai Deewangi hai Aik Din Khood Hee Samjh Ley Gee
Bahot Aasan Nahin Hai Ishq Mein Farhad Ho Jana

Chehra Mera Thaa Nigahen Uss Kee


Roman Urdu  رومن اردو

Chehra Mera Thaa, Nigahein Uss Kee
Khamshi Mein Bhee Wo Batein Uss Kee

Mere Chehrey Pay Ghazal Likti Gain
Shaer Kehti Hui Aankhin Uss Kee

Bisat e Zeest Par Aksar Zamana


Roman Urdu  رومن اردو

Bissat e Zeest Par Aksar Zamana
Pallat Leta Hai Apney Haq Mein Pansey

Wagarna Fasal e Gull Ki Qadar Kia Thee
Bari Hikmat Hai Wabasta Khazzan Se

Sunday, 24 November 2013

Dard Ki Dil Pay Hakoomat Thee


Roman Urdu  رومن اردو

Dard Ki Dill Pay Hakoomat Thee, Kahan Thaa Us Waqt
Jabb Mujhe Teri Zaroorat Thee, Kahan Thaa Uss Waqt

Mout K Sukh Mein Challa Aaya Mujhe Dekhney Ko
Zinda Rehney Ki Museebat Thee, Kahan Thaa Us Waqt

Dasht Mein Piyas Bujhatey Huey Marr Jatey Hain


Roman Urdu  رومن اردو

Dasht Mein Piyas Bujhatey Huye Mar Jatey Hain
Hm Parinday Kahein Jatey Huey Mar Jatey Hain

Hum Sokhey Huye Tallab Pay Baithey Huye Hans
Jo Taalluq Ko Nibhatey Huey Mar Jatey Hain

Advertisement