Thursday 28 November 2013

Dosron Mein Zindagi Kay Zaiqey Bantey Gaye



Roman Urdu      رومن اردو

Doosron Mein Zindagi K Zaiqey Bantey Gaye
Doston Mein To Faqt Shikway Gilley Bantey Gaye

Pehley To Chheni Gai Aankhon Se Beenai Yahan
Aor Phir Sarey Nagar Mein Aainey Bantey Gaye

Din Chada To Khouf Ki Hrr Simt Deewarein Utheen
Raat Hotey Hee Nagar Mein Ratjaggay Bantey Gaye

Jab Bhi Khushbakhti Se Manzil Key Qareeb Aaye Kabhi
Phir Hamein Ekk More De Kar Fasaley Bantey Gaye

Ekk Safar Darpaish Tha Taptey Huye Sahraon Kaa
Aor Kuchh Pehley Safar Kay Aabley Bantey Gaye

Hashiye Khainchey Gaye Khushion Pe Apni Aor Kabhi
Shaher Ki Har Ekk Galli Mein Sanhey Bantey Gaye

Kabb Mujhey Aosaf Iss K Piyar Ka Hissa Milla
Jo Bhi Lamhey Thay Wo Duniya Kay Liye Bantey Gaye

Aousaf Sheikh


Urdu   اردو


دوسروں میں زندگی کے ذائقے بانٹے گئے
دوستوں میں تو فقط شکوے گلے بانٹے گئے

پہلے تو چھینی گئی آنکھوں سے بینائی یہاں
اور پھر سارے نگر میں آئینے بانٹے گئے

دن چڑھا تو خوف کی ہر سمت دیواریں اٹھیں
رات ہوتے ہی نگر میں رت جگے بانٹے گئے

جب بھی خوش بختی سے منزل کے قریب آئے کبھی
پھر ہمیں اک موڑ دے کر فاصلے بانٹے گئے

اک سفر درپیش تھا تپتے ہوئے صحراؤں کا
اور کچھ پہلے سفر کے آبلے بانٹے گئے

حاشئیے کھینچے گئے خوشیوں پہ اپنی اور کبھی
شہر کی ہر اک گلی میں سانحے بانٹے گئے

کب مجھے اوصاف اس کے پیار کا حصہ ملا
جو بھی لمحے تھے وہ دنیا کے لئے بانٹے گئے


اوصاف شیخ

No comments:

Post a Comment

Advertisement