Showing posts with label Ghalib. Show all posts
Showing posts with label Ghalib. Show all posts

Monday, 18 November 2013

Ballaye Jaan Hai Ghalib


Roman Urdu  رومن اردو

Ballaye Jaan Hai Ghalib Iss Ki Harr Baat
Ibbarat Kiya, Ishaarat Kiya Adda Kiya

Saturday, 16 November 2013

Raat Ki Tanhaion Mein To


Roman Urdu   رومن اردو

Raat Ki Tanhaion Mein To Koi Bhi Yaad Kar Leta Hai Ghalib
Jo Duniya Kie Bheed Mein Yaad Rakhey Mohabbat Uss Ko Kehtey Hain

Sunday, 6 October 2013

Yeh Muhabbat Aisa Munfaarid Khail Hai Ghalib


Yeh Muhabbat Aisa Munfaarid Khail Hai Ghalib

Roman Urdu    رومن اردو

Yeh Muhabbat Aisa Munfaarid Khail Hai Ghalib
Jo Seekh Jaataa Hai!! Woh Haar Jatta Hai

Urdu   اردو

یہ محبت ایسا منفرد کھیل ہے غالب
جو سیکھ جاتا ہے!! وہ ہار جاتا ہے

Wednesday, 10 April 2013

Woh Mujh Se Bichar Kar


Wo Mujh Se Bichar Kar Ab Tak Roya Nahin Ghalib
Koi To Hai Hamdard Jo Ussey Roney Nahin Daita

Tuesday, 11 September 2012

Naa Tha Kuch To Khuda Thaa


Naa Thaa Kuchh To Khuda Tha, Kuchh Hota To Khuda Hota
Doboiya Mujh Ko Honey Ney, Naa Hota Mein To Kiya Hota

Hua Jab Gham Se Youn Behis To Gham Kiya Sar K Katney Ka
Naa Hota Gar Judda Tan Se To Zano Par Dharra Hota

Hui Muddat K Ghalib Mar Giya, Par Yaad Aata Hai
Wo Har Ekk Baat Pe Kehna K Youn Hota To Kiya Hota

Sunday, 24 June 2012

Dard Ho Dill Mein To


Dard Ho Dill Mein To Dawaa Kijeeye
Dill Hee Jabb Dard Ho To Kiya Kijeeye

Ham Ko Faryad Karnii Aatii Hai
Aap Suntay Nahein To Kiya Kijeeye

In Buttoon Ko Khuda Say Kiya Matllab
Tauba Tauba, Khuda Khuda Kijeeye

Ranjj Uthaaney Say Bhee Khushi Ho Gee
Pehlay Dill Dard Aashnaa Kijeeye

Aarz e Shokhii Nishat e Aalam Hai
Hussan Ko Aor Khudd Numma Kijeeye

Dushmani Ho Chukii Baa Qadar e Wafa
Abb Haqq e Dosti Adda Kijeeye

Mout Aatii Nahi Kahein Ghalib
Kab Tak Afssos Zeesatt Kaa Kijeeye

Advertisement