Roman Urdu رومن اردو
Dukh Boltey Hain
Jabb Seeney
Andar Saans Kay Darya Doltey Hain
Jabb Mousam Sard
Hawa Mein
Chup See Gholtey
Hain
Jab Aansoo
Palkein Roltey Hain
Jab Sab Aawazein
Apney Apney Bistar Pay So Jati Hain
Tabb Ahista
Ahista Aankhein Kholtey Hain
Dukh Boltey Hain
Farhat Abbas
Shah
Urdu اردو
دکھ بولتے ہیں
جب سینے اندر سانس کے دریا ڈولتے ہیں
جب موسم سرد ہوا میں
چپ سی گھولتے ہیں
جب آنسو
پلکیں رولتے ہیں
جب سب آوازیں اپنے اپنے بستر پہ سو جاتی ہیں
تب آہستہ آہستہ آنکھیں کھولتے ہیں
دکھ بولتے ہیں
فرحت عباس شاہ
No comments:
Post a Comment