Roman Urdu رومن اردو
Doosron Mein
Zindagi K Zaiqey Bantey Gaye
Doston Mein To
Faqt Shikway Gilley Bantey Gaye
Pehley To Chheni
Gai Aankhon Se Beenai Yahan
Aor Phir Sarey
Nagar Mein Aainey Bantey Gaye
Din Chada To
Khouf Ki Hrr Simt Deewarein Utheen
Raat Hotey Hee
Nagar Mein Ratjaggay Bantey Gaye
Jab Bhi
Khushbakhti Se Manzil Key Qareeb Aaye Kabhi
Phir Hamein Ekk
More De Kar Fasaley Bantey Gaye
Ekk Safar
Darpaish Tha Taptey Huye Sahraon Kaa
Aor Kuchh Pehley
Safar Kay Aabley Bantey Gaye
Hashiye
Khainchey Gaye Khushion Pe Apni Aor Kabhi
Shaher Ki Har
Ekk Galli Mein Sanhey Bantey Gaye
Kabb Mujhey
Aosaf Iss K Piyar Ka Hissa Milla
Jo Bhi Lamhey
Thay Wo Duniya Kay Liye Bantey Gaye
Aousaf Sheikh
Urdu اردو
دوسروں میں زندگی کے ذائقے بانٹے گئے
دوستوں میں تو فقط شکوے گلے بانٹے گئے
پہلے تو چھینی گئی آنکھوں سے بینائی یہاں
اور پھر سارے نگر میں آئینے بانٹے گئے
دن چڑھا تو خوف کی ہر سمت دیواریں اٹھیں
رات ہوتے ہی نگر میں رت جگے بانٹے گئے
جب بھی خوش بختی سے منزل کے قریب آئے کبھی
پھر ہمیں اک موڑ دے کر فاصلے بانٹے گئے
اک سفر درپیش تھا تپتے ہوئے صحراؤں کا
اور کچھ پہلے سفر کے آبلے بانٹے گئے
حاشئیے کھینچے گئے خوشیوں پہ اپنی اور کبھی
شہر کی ہر اک گلی میں سانحے بانٹے گئے
کب مجھے اوصاف اس کے پیار کا حصہ ملا
جو بھی لمحے تھے وہ دنیا کے لئے بانٹے گئے
اوصاف شیخ
No comments:
Post a Comment