Wednesday 12 September 2012

Ekk Tera Gham Jo Paal Baitha Hoon


Ek_k Ter_a Gham Jo Paa_l Baith_a Hoon
Dekh Kit_na Nidha_l Baith_a Hoon
Ekk Teri Baa_t Manneny Kaylaye
Sab Ki Baton Ko Taa_l Baitha Hoon
Tujh Ko Dil Se Nikalney Kaylaye
Dil Ko Khud Say Nika_l Baith_a Hoon

Poora Chaand


Pooray Chaa_nd Ki Raat Mein
Uss Nay Wada Kiya Tha
Aa Jaye Gaa
Tab Se Ab Tak
Pooray Chaa_nd Ki Kit_ni Raatein Aa Gain
Aor Meri Tan_hai Mere Saath Barhi
Chand_ni Mere Baalon Mein
Chaand_i Kay Taar Paro_ti Gai
Mera Khawa_b Adhora Hai
Par...!!!
Chaan_d To Aaj Bhi Poora Hai!!

Safeer Ahmed

Iss Janam Mein Ho Tera Saath


Iss Janam Mei_n Ho Tera Saa_th Kahan Mumk_in Hai
Aor Wafa Ki Ko_i Sogha'at, Kahan Mum_kin Hai

Teri Chaha_t Ka Yaqin Kar_na Mere Bass Mein Nahi
Aa_g K Bhais Mein Bar_sat, Kahan Mumki_n Hai

Baa_t Karney Ka Baha_na Bhi Na Mil_ta Ho Jahan
Zaa_t Mein Gum Ho Koi Zaa_t, Kahan Mum_kin Hai

Subha D_m Chaa_nd Sita_ron Ka Fasoon Tham Saa Giya
Aab Wo Kir_non Se Atti Raa_t, Kahan Mum_kin Hai

Ye Bhi Ekk Khawa_b Se Jaa_ga Hua Man_zar Hi Na Ho
Tere Haa_thon Mein Mera Hath, Kahan Mum_kin Hai

Din, Jagah, Waqat Bata_ney Ki Bhi Zeh_mat Ho Janab
Aap Se Sharf e Mulla_qat, Kahan Mum_kin Hai??

Teri Chokha_t Se Palatt Aaye Yahi Soch K Hum
Tu Hamein Dey Koi Khae_rat, Kahan Mum_kin Hai

Woh Jo Hum Do_non Se Gumm Ho Gai Ekk Roz Batool
Aao Dhoon_dhen Naa Wohi Baat, Kahan Mum_kin Hai

Fakhira Batool

Tuesday 11 September 2012

Naa Tha Kuch To Khuda Thaa


Naa Thaa Kuchh To Khuda Tha, Kuchh Hota To Khuda Hota
Doboiya Mujh Ko Honey Ney, Naa Hota Mein To Kiya Hota

Hua Jab Gham Se Youn Behis To Gham Kiya Sar K Katney Ka
Naa Hota Gar Judda Tan Se To Zano Par Dharra Hota

Hui Muddat K Ghalib Mar Giya, Par Yaad Aata Hai
Wo Har Ekk Baat Pe Kehna K Youn Hota To Kiya Hota

Ek Khawab Hai - Urdu Poetry

Ekk Khawab Hai, Iss Khawab Ko Khona Bhi Nahin Hai
Taabir Key Dhage Mein Parona Bhi Nahin Hai

Lipta Hua Hai Dill Se Kissi Raaz Ki Surat
Ekk Shakhs Ke Jiss Ko Mera Hona Bhi Nahin Hai

Rakhna Hai Sar e Chasham Ussey Sakit O Jamid
Paani Mein Abhi Chaand Bhigona Bhi Nahin Hai

Harchand Tere Naqash e Kaf e Paa Mein Hai Lekin
Yeh Dill Kissi Bachey Ka Khilona Bhi Nahin Hai

Wabsta Hai Mujh Se K Tu Hai Bhi K Nahin Hai
Jab Mein Nahin Tujh Mein, Tera Hona Bhi Nahin Hai,

Jiss Shakhs Ki Khatir Tera Yeh Haal Hua Hai Khawar
Uss Shakhs Ne Tere Mar Janey Pe Rona Bhi Nahin Hai

Ayoub Khawar

Aaj Bhi Tapti Dhoop - Urdu Poetry


Aaj Bhi Tapti Dhoop Ka Sehra..!!,
Tere Naram Labon Ki Shabnam,
Saye Se Mahroom Raha,
Aaj Bhi Pathar Hijar Ka Lamha,
Sadion Se Bekhawab Rutton Ki,
Aankhon Ka Mafhoom Raha,
Aaj Bhi Apney Wissal Ka Tara,
Rakh Urrati Shokh Shafq Ki,
Manzil Se Maadom Raha,
Aaj Bhi Shaher Mein Pagal Dil Ko,
Teri Deed Ki Aas Rahi,
Muddat Se Gumsum Tanhai,
Aaj Bhi Mee Paas Rahi,
Aaj Bhi Sham Udas Rahi

Tujhe Roshni Jo Miley Ager


Tujhe Roshni Jo Milley Agr
Ussey Kehna Itna Mere Chara Gar
Nahin...... Mujh Ko Uss Ki Tallab Nahin
Ussey Chaha Mein Ney....Magr Ab Nahin
Ussey Ghumna Hai Nagar Nagar
Wo Karey Safar
Phirrey Kubaku
Rahey Darbadar

Ali Tasif


Bekaran Tanhion Ka Silsala - Urdu Poetry

Bekaran Tanhion Ka Silsala Reh Jaye Gaa
Tere Mere Darmiyan, Bas Ekk Khalla Reh Jaye Gaa

Aks Beh Jaingey Sarey Dhoop K Sailab Mein
Aor Koi Panion Mein Jhankta Reh Jaye Gaa

Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpesh Hai
Rasta Katt Bhi Giya To Fasla Reh Jaye Gaa

Log So Jaingey Khamoshi Ki Chadar Orhh Kar
Chaand Sooney Aangnon Mein Jagta Reh Jaye Gaa

Jo Kabhi Uss Ney Parhein Thein Mujh Se Nasir Maang Kr
Naam Mera Unn Kitabon Mein Likha Reh Jaye Gaa

Nasir Kazmi

Kaha Hai Jub Se Tum Ne


Kaha Hai Jab Se Yeh Tum Ne
Muhabbat Kuchh Nahin Hoti
Udasi Orh Li Mein Ne
Kaha Hai Jab Se Yeh Tum Ne
Ke Sab Kuchh Hi Maya Hai
Ajjab Ekk Dard Ke Badal Ka
Mere Sar Pe Saya Hai
Preshan Hoon Muqadar Ko
Kion Mein Nay Aazmaya Hai
Tum Ne Kaha Tha Naa..!!!
Muhabbat Kuchh Nahi Sab Maya Hai
Mein Lout Aya Hoon
Udas Iss Apni Duniya Mein
Jahan Mein Tha, Udasi Thi
Jahan Har Chez Piasi Thi
Kaha Hai Jab Se Yeh Tum Ne
Muhabbat Kuchh Nahin Hoti
Udasi Orh Li Mein Ne
Teri Duniya, Teri Mehfil
Wo Sari Chhorr Di Mein
Udasi Orh Li Mein Ne

Fahad Aziz Malik

Monday 10 September 2012

Taskeen E Muhabbat


Taskeen e Muhabbat K Faqat Do Hi Tareeqe They
Yaa Dill Na Bana Hota, Ya Tum Na Baney Hote

Tere Kehney Pe Lagai Hai

Tere Kehney Pe Lagai Hai Ye Mehndi Mein Ne
Eid Par Ab Na Tu Aaya To Qayamat Ho Gi

Ek Riwayat Sunni Thi


Ekk Riwayat Sunnit Thi - Mager Manta Nahin Thaa
Milla Tum Se, Ehsas Hua Hr Shakhs Wafa Ka Aadi Nahi Hota

Tumhen Dene Ko Hamare Paas


Tumhein Dene Ko Hamarey Paas Kuchh B Nahin Hai
Hamarey Bass Mein Thi Zindagi, Wo B Tumharey Naam Kr Di

Thursday 6 September 2012

Naarsai

NaarSai
Tum Se Milna To Bari Baat Hai Janan
Tumhari Tasawrati Mulaqat Bhi
Baa'es e Taskeen Hai Mere Laye
Iss Mulaqat Se kam Az Kam
Itna To Hota Hai K
Hamare Sb Gille Shikway
Tum Door Karte Hoo
Sab Ranjshen, Sab Klaften
Tum Khatam Karte Ho
Nahin Karte To Bas...
Ye Nahin Karte K
Hum Se Milne Ka Wada Hi
Eeffa Kar Do Lekin
Phir Wo Waada Hi Kia
Jo Wafa Ho Jaye

Intezar e Umer e Taveel Kay Baad


Intezar e Umer e Taveel Kay Baad, Bheja Jo Qasid Ko Unki Taraf
Qasid Palat Kar Khoob Roya, Ke Taaruf Poochhtey Hain Wo

Khafa Hota Hai Mujhe Se To


Khafa Hota Hai Mujh Se To, Wo Khud Bhi Toot Jata Hai
Saza Deta Hai Youn Mujh Ko, K Khud Se Rooth Jata Hai

Ye Aansoo Rukney K Mein, Jattan Karta Bahterey Hoon
Ajjab Hai Zabt Ka Daman, Hamesha Chhoot Jata Hai

Mere Chahey Naa Ho Sako


Mere Chahe Naa Ho Sako Lekin
Tum Kissi Aor K Nahin Hona

Wednesday 5 September 2012

Mujhe Naa Dill Se Nikalna

Shafq Ki Chilman Se
Roshni Ki Haseen Kirnein
Tumhare Rukh Ki Taraf Barhi Hain
Zarra Nazar Ko Sambhalna Tum
Saher K Aangan Mein
Ho Gayi Hai Saba Ki Masti
Gullon K Naqsh O Nigar
Rangat Badal Rahe Hain
Mujhe Na Dil Se Nikalna Tum
Ye Zard Rutt Ka Muheet Saya
Kahein Na Ehsas Ko Kuchal De
Andheri Shab Par Sawar Hai
Meri Soch Ka Becharagh Ujalla
Lahu Ki Barsat Mein Ho Kaise
Amer Muhabbat
Mein Zard Paton Ki Tarah Bikhra Pada Hoon
Bahar Ki Arzu Mein
Mere Badan Ki Laali
Siah Shab Mein Badal Gayi Hai
Falak Se Koi Sitara La Kar
Meri Nazar Ko Ujalna Tum
Mujhe Na Dil Se Nikalna Tum

Saleem Akhtar Malik

Tuesday 4 September 2012

Mujhe Aor Kahen Lay Chal Sanwal


Mujhe Aor Kahien Le Chal Sanwal
Jahan Raat Kabhi B Soyee Naa Ho

Jahan Subha Kissi Pe Royee Naa Ho
Jahan Hijr Ne Wehshat Boyee Naa Ho

Jahan Koi Kissi Ki Khoiee Naa Ho
Muhe Aor Kahen Le Chal Sanwa...!!

Jahan Dard Kissi Ko Raas Na Ho
Jahan Koi Malool, Udas Na Ho

Jahan Zulmat Ki Bu Baas Na Ho
Jahan Tu Bhi Ziyada Paas Na Ho
Mujhe Aor Kahien Le Chal Sanwal

Kaise Kaisey Hadsey Sehtey Rahe


Kaise Kaisey Hadsey Sehtey Rahe
Hum Younhi Jeete Rahe, Hanste Rahe

Uss K Aa Janey Ki Umedein Laye
Raste Murr Murr K Hm Takte Rahe

Waqt To Guzara Mgr Kuch Iss Tarah
Hm Charaghon Ki Tarah Jalte Rahe

Kitne Chehre They Hamarey Aas Paas
Tum Hi TuM Mager Dill Mein Baste Rahe

Mohabbat Kam Nahin Karna


Mohabbat Kam Nahin Karna
Koi Bhi Rogg De Lena...!
Koi Bhi Naam De Dena...!
Nahin Subha Suhani To Ghamon Ki Sham De Dena
Magr Itni Guzarish Hai Meri Tarik Raton Se
Tum Apni Chahton Ki Lao Kabhi Madham Nahin Karna
Mohabbat Kam Nahin Karna...!!
Mohabbat Kam Nahin Karna..!

Jo Ho Ijazat To Tum Se Ekk Baat


Jo Ho Ijazzat To TUm Se Ekk Baat Poochoon
Jo Ham Se Ishq Seekha Tha Wo Ab Kiss Se Karte Ho

Yeh Mera Housla Hai - Urdu Poetry


Ye Mera Housla Hai Tere Baghair
Sans Leta Hoon, Baat Karta Hoon

Wasi Shah

Aoron Se Bhi Wabastagian Hain - Urdu Poetry


Aoron Se Bhi Wabstgian Hain Thori C Magr
Tujh Se Jo Silsaley Hain Wo Inteha K Hain

Mohabbaton Kay Safeer


Muhabbaton Kay Safeer

Wo Gaye Dinnon Kay Haseen Wa'day
Wo Gaye Dinon Ki Muhabbatain
Wo Gaye Dinon K Lamhat e Wisal
Hamein Yaad Hai Wo Sab
Ishq e Roz e Awaleen Ki Tarah
Ham To Hain Muhabbaton Kay Safeer Janan
Elm e Muhabbat Ko Hamen Hai Bachana
Apni Hasti Ko Fana Kar Saktey Hain Hum
Muhabbat Se Door Nahin Reh Saktey Hum
Muhabbat Se Hai Qaim Dillon Ki Duniya
Muhabbat Bhra Dil Hai Maskan Khuda Ka
Chalo Aaj Phir Se Aehd Ye Hum Karen
Muhabbaton Ko Chaar Soo Aam Hum Karen
Mitta Dein Duniya Se Nafraton Ko Hum
Ho Jain Hardilaziz Duniya Mein  Hum
Ham To Hain Muhabbaton Kay Safeer Janan
Elm e Muhabbat Ko Hamen Hai Bachana

Aatey Hain Khawabon Mein


Aatey Hain Khawabon Mein Khialon Mein Musalsal
Phir Hum Se Ye Kehtey Hain K Hum Parda Nasheen Hain

Monday 3 September 2012

Mere Saber Par Koi Ajar Kiya


Mere Sabr Pr Koi Ajar Kiya, Meri Dopaher Pe Ye Abr Kion
Mujhe Orhney De Azziaten, Meri Aadten Kharab Na Kar

Ekk Baar Aor Dekh Kar


Ekk Baar Aor Dekh Kar Aazad Kar De Mujhe Mohsin
Ke Mein Aaj Bhi Teri Pehli Nazar Ki Qaid Mein Hoon

Door Tak Uss Ki Nigahon Ne- Urdu Poetry


Door Tak Uss Ki Nigahon Nay Kiya Hai Rukhsat
Der Tak Dill Dharkney Ki Sadda Aai Hai

Hum Bhi Wohi - Urdu Poetry


Ham B Wohi, Hijr e Yaaran B Wohi, Aor Wohi Dill e Betaab Bhi
Sunna Hai, Koocha e Yaaran Mein Eid Hai Ek Din Kay Baad

Teri Talash Mein


Teri Talash Mein Mera Wajood Hi Na Raha
Tabah Kar Gaye Meri Hasti Ko, Aarzu Teri

Tallauqat Mein Aisi Rawadari - Urdu Poetry


Tallauqat Mein Aisi Rawadari Bhi Naa Ho Mohsin
Milley To Mill Lena Bicherey To Yaad B Naa Karna

Dard Hota Hai - Urdu Poetry



Haath Rakh Kar Mere Dill Par Wo Farmaney Lagay
Dard Kahan Hota Hai? Kab Hota Hai? Ab Hota Hai?

Dil Ka Nagar Khali


Dil Ka Nagar Khali Hota Ja Raha Hai
Kissi Bad Dua Ka Assar Hota Ja Raha Hai

Koi B Makeen Basta Nahin Iss Ghar Mein
Kissi Aaseb Ka Assar Hota Ja Raha Hai

Kooch Kab K Kar Gaye Iss Ghar K Makeen
Mashghalla Naqal Makani Raas Aata Ja Raha Hai

Ekk Hijr Ka Mousam Hai Iss Shaher e Dill Mein
Aor Tera Sitam Laziwal Hota Ja Raha Hai

Kabhi To Tu Bhi Roye Ga Kissi Ki Yaad Mein
Silsala e Makafat e Amal Shuru Hota Ja Raha Hai

Bewafai Ab K Hum B Kar K Dekhen Gay Aamir
Muhabbaton Pe Shaid Ziwal Aata Ja Raha Hai

Maangi Hai Dua - Urdu Poetry


Maangi Hai Dua Iss Ilteja Kay Saath
Katt Jaye Meri Umr Uss Bewafa Kay Saath

Haan Mein Ne-Urdu Poetry


Haan Mein Nay TUjhe CHaha Inkar Nahi Mujh Ko
Yeh Jurram To Sabit Hai, Kiya Iss Ki Safai Doon

Advertisement