Monday, 12 November 2012

Tujh Se Naraz Nahin Zindagi


Tujh Say Naraz Nahin Zindagi Hairan Hoon Mein
Tere Masoom Sawalon Se Pareshaan Hoon Mein
Jeeney K Laye Socha Hi Naa Tha Dard Sambhalney Hoongey
Muskuraon To Muskuraney K Qarz Utarney Hoon Ge
Muskuraon Kabhi To Lagta Hai

Jaisey Honton Pe Qarz Rakha Hai

Tujh Se Naraz Nahin Zindagi Hairan Hoon Mein
Aaj Agrr Bharr Aai Hain Boondein Baras Jaingee
Kall Kiya Patta, Un K Laye Aankein Tarass Jaingee
Janey Kahan Gum Hua Kahan Khoiya
Ekk Aansu Chuppa K Rakha Thaa

Tujh Se Naraz Nahin Zindagi Hairan Hoon Mein
Zindagi Tere Gham Ne Hamein Rishtey Naye Samjhaye
Milley Jo Hamein Dhoop Mein Milley Chhaon K Thandey Saye
Tujh Se Naraz Nahin Zindagi Hairan Hoon Mein

No comments:

Post a Comment

Advertisement