Showing posts with label Love Poetry. Show all posts
Showing posts with label Love Poetry. Show all posts

Thursday, 6 June 2013

Ekk Justuju Mein


Ekk Justju Mein Raat Din Bhatkey Hain Darbadar
Hum Ko Tumharey Piyar Nay Awara Kar Diya

Wednesday, 10 April 2013

Friday, 22 February 2013

Tarrap Kar Jab Kaha Dill Nay


Tadap Kar Jab Kaha Dil Nay K Pehlu Se Nikaltey Hain
To Jaan e Natwan Boli K Chaliye Hum Bhi Chaltey Hain

Mazza Jab Hai K Aa Jaye Kahein Unki Tabiat Bhi
Zarra Wo Bhi To Janein, Kion Kar Karwat Badltey Hain

Wednesday, 13 February 2013

Mujhe Matti Ka Gharr Bananey Ka Shauq Tha


Mujhey Mitti Ka Gharr Bananey Ka Shoq Thaa
Ussey Aashiyaney Girraney Ka Shoq Thaa

Mein Khud Se Rooth Jata Thaa Aksar Is Layey
Mujhey Roothey Hueyon Ko Mananey Ka Shoq Thaa

Tuesday, 12 February 2013

Kuchh Ishq Kiya Kuchh Kaam Kiya


Woh Logg Bahot Khushqismat Thay
Jo Ishq Ko Kaam Samjhtey Thay
Yaa Kaam Se Aashiqi Kartey Thay
Hm Jeetey Jee Masroof Rahey

Saturday, 3 November 2012

Uss Nay Aashufta Mizaji Ko


Uss Nay Aashufta Mizaji Ko Niya Mor Diya
Mujh Ko Paa Baa Kiya Aor Chhor Diya
Uss Nay Aanchal Se Nikali Mere Gumgushta Kitab
Aor Chupkey Se Muhabbat Ka Warq Mor Diya
Hum Ko Maaloom Tha Anjam e Muhabbat Hum Nay

Friday, 5 October 2012

Aaye Shahzadi e Hussan


Aaye Shahzadi e Hussan
Gr De Ijjazat Mujh Ko
To Mathey Ka Terey
Ekk Hussan Zarra Le Loon
Aor
Raat Ke Mathey Pe
Ekk Chaand Bana Dalon

Tuesday, 11 September 2012

Bekaran Tanhion Ka Silsala - Urdu Poetry

Bekaran Tanhion Ka Silsala Reh Jaye Gaa
Tere Mere Darmiyan, Bas Ekk Khalla Reh Jaye Gaa

Aks Beh Jaingey Sarey Dhoop K Sailab Mein
Aor Koi Panion Mein Jhankta Reh Jaye Gaa

Mujh Ko Mere Hamsafar Aisa Safar Darpesh Hai
Rasta Katt Bhi Giya To Fasla Reh Jaye Gaa

Log So Jaingey Khamoshi Ki Chadar Orhh Kar
Chaand Sooney Aangnon Mein Jagta Reh Jaye Gaa

Jo Kabhi Uss Ney Parhein Thein Mujh Se Nasir Maang Kr
Naam Mera Unn Kitabon Mein Likha Reh Jaye Gaa

Nasir Kazmi

Monday, 10 September 2012

Ek Riwayat Sunni Thi


Ekk Riwayat Sunnit Thi - Mager Manta Nahin Thaa
Milla Tum Se, Ehsas Hua Hr Shakhs Wafa Ka Aadi Nahi Hota

Wednesday, 5 September 2012

Mujhe Naa Dill Se Nikalna

Shafq Ki Chilman Se
Roshni Ki Haseen Kirnein
Tumhare Rukh Ki Taraf Barhi Hain
Zarra Nazar Ko Sambhalna Tum
Saher K Aangan Mein
Ho Gayi Hai Saba Ki Masti
Gullon K Naqsh O Nigar
Rangat Badal Rahe Hain
Mujhe Na Dil Se Nikalna Tum
Ye Zard Rutt Ka Muheet Saya
Kahein Na Ehsas Ko Kuchal De
Andheri Shab Par Sawar Hai
Meri Soch Ka Becharagh Ujalla
Lahu Ki Barsat Mein Ho Kaise
Amer Muhabbat
Mein Zard Paton Ki Tarah Bikhra Pada Hoon
Bahar Ki Arzu Mein
Mere Badan Ki Laali
Siah Shab Mein Badal Gayi Hai
Falak Se Koi Sitara La Kar
Meri Nazar Ko Ujalna Tum
Mujhe Na Dil Se Nikalna Tum

Saleem Akhtar Malik

Tuesday, 4 September 2012

Mujhe Aor Kahen Lay Chal Sanwal


Mujhe Aor Kahien Le Chal Sanwal
Jahan Raat Kabhi B Soyee Naa Ho

Jahan Subha Kissi Pe Royee Naa Ho
Jahan Hijr Ne Wehshat Boyee Naa Ho

Jahan Koi Kissi Ki Khoiee Naa Ho
Muhe Aor Kahen Le Chal Sanwa...!!

Jahan Dard Kissi Ko Raas Na Ho
Jahan Koi Malool, Udas Na Ho

Jahan Zulmat Ki Bu Baas Na Ho
Jahan Tu Bhi Ziyada Paas Na Ho
Mujhe Aor Kahien Le Chal Sanwal

Jo Ho Ijazat To Tum Se Ekk Baat


Jo Ho Ijazzat To TUm Se Ekk Baat Poochoon
Jo Ham Se Ishq Seekha Tha Wo Ab Kiss Se Karte Ho

Monday, 3 September 2012

Saturday, 18 August 2012

Lakirein Jhoot Bolti Hain-Urdu Poetry

Jab Wo Mera Naam
Apney Hathon Ki Lakiron Mein
Talash Kar K Thak Gai
To Dheerey Se Sar Jhukaya
Aor Muskra K Kaha
Lakirein Jhoot Bolti Hain

Tuesday, 14 August 2012

Kiyal e Zeest


Aksar Mein Sochta Hoon
Tere Honton Ki Wo Batein
Teri Woh 
Dilnasheen Aankhen,
Sarey Tere Piyar K Lamhey
Teri Aahat, Teri Yadein
Mein Aksar Sochta Hoon K
Ye Pal Kaise Bitaon Gaa
Kaisey Apna Banaon Gaa
Tumhen Kaisey Bhulaon Gaa

Monday, 13 August 2012

Meri har khushi Tere Nam ho


Meri Har Khushi Tere Naam Ho,
Teri Har Ghami Mere Naam Ho, 

Meri Chahton K Mehrban,
Meri Zindagi Tere Naam Ho,

Teri Har Adda Pe Ho Jaon Fidda,
Teri Har Nazar Ko Sallam Ho,

Mein Hans K Pi Loon Ga Zehar Bhi,
Jo Tere Hathon Ka Jaam Ho,

Sirf Teri Chahat Mein Aye Dost
Meri Umer Younhi Tamam Ho,

Advertisement