Showing posts with label Famous Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Famous Urdu Poetry. Show all posts

Monday, 3 June 2013

Ekk Hi Shakhs Pe Lutta Daite Hain


Ekk Hi Shaksh Pe Lutta Daitey Hain Jo Zindagi Apni
Aisey Log Ab Kitabon Mein Milla Karte Hain

Tuesday, 16 April 2013

Aaj Toot Kar Uski Yaad Aai


Aaj Toot Kar Uski Yaad Aai To Ehsaas Hua Mohsin
Uttar Jate Hain Jo Dil Mein Wo Bhulaye Nahi Jatey

Wednesday, 10 April 2013

Bahot Naaz Tha Mujhe


Bahot Naaz Tha Mujhe APney Chahney Walon Pr
Mein Aziz Tha Sab Ko Magar Zaroorton K Laye

Friday, 22 February 2013

Tarrap Kar Jab Kaha Dill Nay


Tadap Kar Jab Kaha Dil Nay K Pehlu Se Nikaltey Hain
To Jaan e Natwan Boli K Chaliye Hum Bhi Chaltey Hain

Mazza Jab Hai K Aa Jaye Kahein Unki Tabiat Bhi
Zarra Wo Bhi To Janein, Kion Kar Karwat Badltey Hain

Tuesday, 12 February 2013

Kuchh Ishq Kiya Kuchh Kaam Kiya


Woh Logg Bahot Khushqismat Thay
Jo Ishq Ko Kaam Samjhtey Thay
Yaa Kaam Se Aashiqi Kartey Thay
Hm Jeetey Jee Masroof Rahey

Saturday, 17 November 2012

Kuchh Raat Ki Aankhein



Kuchh Raat Ki Aankhien Bheegi Thein
Aor Chaand Bhi ROotha Rootha THa
Aor Dill Bhi Toota Toota THaa
Kiss More Pe Bichhrey Yaad Nahin
Honton Pe Koi Faryaad Nahin

Aaye Mere Dost...!!!


Aaye Mere Dost

Aaye Mere Dost
Safarr Kaa Kaam Hai Katna
Katt Hi Jaye Gaa
Waqt Ka kaam Hai Guzarna
Guzar Hi Jaye Gaa
Magr Raston Pr Urrti Dhool
Mazi Par Parney Naa Daina
Apni Yaad K Mehwar Se
Mujhey Niklney Naa Daina

Monday, 12 November 2012

Tujh Se Naraz Nahin Zindagi


Tujh Say Naraz Nahin Zindagi Hairan Hoon Mein
Tere Masoom Sawalon Se Pareshaan Hoon Mein
Jeeney K Laye Socha Hi Naa Tha Dard Sambhalney Hoongey
Muskuraon To Muskuraney K Qarz Utarney Hoon Ge
Muskuraon Kabhi To Lagta Hai

Saturday, 3 November 2012

Aadat Hi Bana Lee Hai


Aadat Hi Bana Lee Hai, Iss Shaher K Logon Nay
Andaaz Badal Laena, Awaz Badal Laena
Aghiyar Wohi Rakhna, Ahbab Badal Laena
Duniya Ki Muhabbat Mein, Atwar Badal Laena
Mousam Jo Niya Aaye, Raftar Badal Laena

Advertisement