Showing posts with label Dard. Show all posts
Showing posts with label Dard. Show all posts

Sunday, 20 October 2013

Balla Ki Dilkash Hain Yaar Aankhein

Roman Urdu      رومن اردو

Balla Ki Dilkash Hain Yaar Aankhein
Khizan Ki Rutt Mien Bahar Aankhein

Jo Uth Gaain To Dua Hain Logo
Muhabbaton Ki Pukkar Aankhein

Aankh Aankh Jabb Sehra Phailta Nazar Aaya


Roman Urdu       رومن اردو

Aankh Aankh Jabb Sehra Phailta Nazar Aaya
Zakhm Zakhm Khawabon Ka Silsila Nazar Aaya

Sabz Mousmon Kay Thay Muntazir Darr O Deewar
Raat Bhar Andhera Bhi Jagta Nazar Aaya

Aaj Mousam Nay Dee Jashan e Mohabbat Ki Khabar

Roman Urdu      رومن اردو

Aaj Mousam Nay Dee Jashan e Mohabbat Ki Khabar
Phoot Kar Roney Lagay Hain Mein Mohabbat Aor Tum

Hum Nay Joonhi_e Karr Liya Mehsoos Manzil Hai Qareeb
Rastey Khooney Lagay Hain Mein Mohabbat Aor Tum

Aaj Kie Shabb To Kissi Taor Guzzar Jaye Gee!

Roman Urdu   رومن اردو

Aaj Kie Shabb To Kissi Taor Guzzar Jaye Gee!

Raat Gehri Hai Maggar Chand Chamkta Hai Abhie
Merey Mathey Pe Terra Piyar Damkta Hai Abhi_e
Meri Sanson Mein Tera  Lams Mehkta Hai Abhi_e
Mere Seeney Mien Tera Naam Dharkta Hai Abhi
Zeesat Karney Ko Merey Pass Bahot Kuchh Hai Abhi

Aaj Kie Raat Bahot Garam Hawa Chalni Hai


Roman Urdu    رومن اردو

Aaj Kie Raat Bahot Garam Hawa Chalni Hai
Aajj Ki Raat Nah Footpath Pe Neind Aaye Gee
Sabb Uthoo, Mein Bhi Uthoon, Tum Bhi Uthoo
Koi Khirki Kissi Deewar Mein Khull Jayegee

Advertisement