Thursday 26 July 2012

Aye Hawa Sirf Dilbar Se Itna Kehna


Aye Hawa Sirf Dilber Se Itna Kehna
Ke Hum Ne Tujhe Sochne, Khojne
Aor Paney Kee Sub Khawahishon Ko
Udasi Ki Dewaron Mein Chun Diya Hai
Tujhe Piyar Se Dekhne Wali Aankhen Bisarat Se
Mehroom Kar Di Hain Ham Ne
Tujhe Paney Ki Aarzu Ko Fana kar Diya Hai
Teri Deed Ki Jo Machalti Thi Khawahish
Usey Hmney Dil Se Parey Kar Diya Hai
Qadam Jo Tere Rastey Se Zarra
Braber Bhi Hattey Na They
Ab Sanam Teri Rahon Pe Partey Nahin Hain
Tere Shaher Mein Aana Jana Raha
Na Teri Yaad Mein Shab Bitana Raha
Wo Haqeeqat Rahi Na Fasana Raha
Chaand Jisko Tera Istaara
Samjhtey They Hum
Usko Dekhtey Huwey Ik Arsa Huva
Aye Hawa Sirf Itna Sa Dilber Se Kehna..

Wo Ajeeb Shakhs Tha


Wo Ajeeb Shakhs Tha, Ke mein Ussey Aaj Tak Na Samjh Paya
Mujhe Chahta Bhi Ghazzab Ka Tha, Mujhe Chor Kr Bhi Challa Giya

Aankhon Mein Raha


Aankhon Mein Raha, Dill Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Sumandar Nahi Dekha

Agr Dill haar Baithey Ho


Agr Dill Haar Baithey Ho- Mere Hamdam Muhabbat mein
Fana Kaisi? Baqa Kaisi? Saza Kaisi? Jaza Kaisi?

Shahid Hay

 Shahid Hai Shiksta Pai Apni
Puhnchay Nahi Nagahan Yahan Hum

Wednesday 25 July 2012



Mujhe aksar yeah kehti thi
Ke itni bar kehte ho,
“Mujhe Tum se Mohabbat hai”
ke ab dil per yeah sunanay se
Asar koi nahi hota
Magar jab aaj danista,
Nahi bola use mein ne
“Mujhe tum se mohabbat hai”
To uski ankh bhar aye
Aatif Saeed

Kitabon Se Dallail Doon


Kitabon Se Dalail Doon Ya Khud Ko Samney Rakh Doon
Wo Mujh Se Pooch Baithey Hain Muhabbat Kis Ko Kehtey hain

Monday 23 July 2012

Samney Manzil Thee


Samney Manzil Thee Aor Peechey Uss Kee Awaz
Rukta To Safar Jaata, Chalta To Bicharr Jaata

Yeh Ghareeb Log Hain


Uss Ne Yeh Soch Kr Hamen Alvidaa Keh Dia Mohsin
Yeh Ghareeb Log Hian Muhabbat K Siwa Kia Dein Ge

Bari Tabdeelian Laye Hain


Bari Tabdeelian Laye Hain Apney Aap Mein Lekin
Tumhen Bs Yaad Karney Kee Wo Aadat Ab B Baqi Hai

Sunday 22 July 2012

Phatti Phatti Hui Aankhon Se


Phatti Phatti Hui Aankhon Se Youn Naa Dekh Mujhey
Tujhe Talash Hai Jis Shakhs Kee, Wo Mar B Giya

Mein Ne Uss Se Kaha


Mein Ne Uss Sey Kaha....
G Chahta Hai
Tujhe Bahon Mein Le Loon
Aor Pathar Ka Ho Jaon.....
Youn Koi Tujhe Mujh Se Judda Na Kar Paye
Wo Muskurai Aor Boli
Chupp Raho....
Deewaron Ke B Kaan Hua Karte Hain

Uljhan


Mujhe Khouf Hai
Wo Nibah Ke Kissi Marhaley Pe
Ye Aa Ke Kehdey Ab Nahin
Merey Dill Ko Teri Talb Nahin

Noshi Gillani

Saturday 21 July 2012

Ab To Aansu Ka Ek Qatra


Abb To Aansu Ka Ek Qatraa
                                        Bhi Ruswa Kar Jata Hai
Bachpan Mein Hm G Bhar
                                     Ke Roya Karte They

Mein Ne Ye Soch Ke Boye Nahi


Mein Ne Ye Soch K Boye Nahi Khawaboon Ke Darkhat
Kaon Sehra Mein Laggey Perr Ko Panii Deey Gaa

Wednesday 18 July 2012

HAMEIN TOU HUKM_E_MAJAWARI HAI


Mazaar-E-Dill Mein Hai Kon Maddfan ..?
Yeh Kiss Aroosa Ka Maqebra Hai ...!!
Na Koi Qatba !! Na Koi Takti ...!!
Na Sung-E-Mar Mar Ki Sill Say Likha Hua Mohabbat Ka Sher Koi ...
Faqat Sarhanay Say Paiyentii Tak 
Amar Ki Bail Ik Lipat Gaii Hai ..
Jo Ik Zamany Say Keh Rahi Hai ..
Yaha'n Thikana Tha Aashiqi Ka ...
Yeh Peer Khana Tha Ashiqi Ka ...
Kissay Khabar K ..
Yahan Hai Madfan Faqeer Koi ?..Aseer Koi ?
Ya Phir Hai Waris Ki Heer Koi ... 
Kissay Khabar Hai !! 
Magar Hamari Majal Hi Kia ..
Yahan Jo Bolein...Zuban Kholein ..
K Apnay Lab Tw Silay Huay Hein ...
Na Janay Kb K Silay Huay Hein ,...

Humein Tou Hukm-E-Majawari Hai 
(Atif Javed Atif )


Tujhe Mein Bhool To Jata


Tujhe Mein Bool To Jataa
Mgr Terey Taa'luq Sey
Jo Chehrey Samney Aaye
Jo Rastey Samney Aaye
Jo Lamhey Samney Aye
Jo Rishtey Samney Aaye
Unhen Kaisey Bhullata Mein
Tujhey Kaisey Bhullata Mein?

Kitney Tuhfey Deti Hai


Kitney Tohfey Deti Hai Ye Muhabbat B Dosto
Dukh Alag, Ruswai Alag, Judai Alag, Tanhai Alag

Zindgi Se Dartey Ho...!!!


Zindag_i Se Dartey Ho?
Zindagi To Tum Bhi Ho, Zindag_i To Hum Bhi Hain
Aadmee Se Dartey Ho?
Aadmee To Tum Bhi Ho, Aadmee To Hum Bhi Hain
Aadmee Zaban Bhi Hai,Aadmee Bayan Bhi Hai,
Is Se Tum Nahin Dartey!

Hurf Aur Maeeney Ke Rishta Haye Aahan Se Aadmee Hai Wabasta
Aadmee Ke Daman Se Zindagee Hai Wabasta

Is Se Tum Nahin Dartey!
Un Kahi Se Dartey Ho?
Jo Abhi Nahin Ayee, Us Ghary Se Dartey Ho

Us Ghary Ki Amad Ki Aagahee Se Dartey Ho
Pehley Bhi To Guzrey Hain,

Daur Narasaai Ke, Beriya Khudai Ke
Phir Bhi Ye Samajhtey Ho,Heech Aarzoo Mandi

Ye Shab E Zaban Bandee,Hay Wo Khudavandi
Tum Mager Ye Kya Jano

Lab Ager Nahin Hiltey,Haath Jag Uthtey Hain
Haath Jag Uthtey Hain,Rah Ka Nishan Ban Ker

Noor Ki Zaban Ban Kar
Haath Bol Uthtey Hain,Subha Ki Azaan Ban Kar

Roshni Sey Dartey Ho?
Roshni To Tum Bhi Ho,Roshni To Hum Bhi Hain

Roshni Se Dartey Ho
Sheher Ki Faseelon Per,Deo Ka Jo Saya Tha,

Paak Ho Gya Aakhir Raat Ka Libada Bhi
Chaak Ho Gya Aakhir, Khaak Hogya
Aakhir
Azdahaam E Insaan Se Fard Ki Nawa Ayee,
Zaat Ki Sada Ayee
Raah E Shauq Mein Jaisey Raahero Ka Khoon Lapkey,

Ek Naya Junoon Lapkey!
Aadmee Chalak Uthey,
Aadmee Hansey Dekho,Sheher Phir Basey Dekho
Tum Abhi Sey Dartey Ho

Haan Abhi To Tum Bhi Ho,Haan Abhi To Hum Bhi Hain
Tum Abhi Sey Dartey Ho

Tere Aazad Bandon Kee

Terey Aazaad Banddon Kee Na Yeh Duniya Na Woh Duniya
Yahan Marney Kee Pabandee Wahan Jeeney Kee Pabandee

Thursday 12 July 2012

In Jheel See Gehri Aankon Mein


In jheel si gehri aankhon mein
ik sham kahein aabad to ho!!
is jheel kinarey pal do pal
ik khawab ka koi phool khiley,
wo phool baha dein lehron mein,
ik roz kabhi hum sham dhaley
us phool ke behte rangon mein
jis waqt larazta chaand chaley,
us waqt kaheen in aankhon mein
is bisrey pal ki yaad to ho
in jheel si gehri aankhon mein
ik shaam kaheen aabaad to ho,
phir chahe umr samander ki,
her mauj pareshan ho jaey
phir chahe aankh dareeche se
her khuab guraizan ho jaey
phir chahe phool ke chehre ka
her dard numayan ho jaey,
is jheel kinaarey pal do pal
wo roop nagar eejaad to ho
din raat ke is aainey se
wo aks kabhi aazaad to ho
in jheel si gehri aankhon mein
ik shaam kaheen aabaad to ho!! 

Iss Se Pehley K Tum Bichar Jao


Iss Se Pehley K Tum Bichar jao
Iss Se Pehley K Tum Na Mill Jao
Iss Se Pehley K Sans Aakhir Hoon
Merey Sathi Mein Chahtee Hoon Yahi
Jitney Ehsan Terey Jaan Pr Hain
Jitney Qarzey Hain Rooh Pr Meri
Ekk Ekk Kr Ke Sarey Gin Gin Ke
Apni Sanson Ke Aakri Lamhey
Teri Choukhat Pe Chor Jaon Gee.

Hum To Be Irada Hee Haar Maan Jate hain


Hm To Beirada Hee Haar Maan Jate Hain
Uss Ke Dar Se Uthtey Hain
Khud Ko Bhool Aatey Hain
Kash...Aaj Youn B Ho
Mere Sarey Raston pr
Khud Ko Bhol Jaye Wo
Mere Jeet Janey Ka Ye Gumman bardh Jaye
Khud Ko Haar Jaye Wo
Mera Maan Bardh Jaye
Aaj Iss Iradey se haar Maan Le Koi
Qurb E Jaan Ke Sadqey Mein
Rooh Khench Le jaye
Jaan Maang Le Koi
Aaj hm Iradey Se Hee Haar Maan Jatey Hain
Tm Pe Be Irada hee Jaan haar Jatey Hain

Kanwal Shahab

Jab Se Tu Ne Mjhey Deewana Bana Rakha Hai


Jb se Tu Ne Mujhe Deewana Bana Rakha Hai
Sang Har shakhs Ne haathon Mein Uthaa Rakha Hai

Uss Kay Dill Pr B Kari Ishq mein Guzaari Ho Gee
Naam Jis Ne B Muhabbat Ka Saza Rakhaa Hai

Pathro Aaj Merey Sir Pe Barstey Q Ho
Mein Ne Tum Ko B Kabhi Apna Khuda Rakhaa Hai

Ab Meri Deed Ki Dunya B Tamashai Hai
Tm Ne Kia Mujh Ko Muhabbat mein bana Rakha Hai

P Jaa Ayyam Kee Talkhee Ko Bhi Hans kar Nasir
Gham Ko Sehney Mein B Qudrat Ne Maza Rakha Hai

Nasir Kazmi

Ager Wo Mehrbaan Hoti


Agr Wo Mehrban Hoti
To Meri Aankh mein
Na Jhalmlati Nami Hoti
Na Mere Dil ki Wadi Mein
Khazan ka Qafla Rukta

Jab Raat Kee Tanhai


Jb Raat Kee Tanhai Dil Ban K Dharkti Hai
Yaadon K Dareechon Mein Chlman C Sarakti hai

Lubaan Men Chingari Jaise Koi Rakh Jaye
Youn Yaad Tery Shab Barr Seeney mein Sulaggti Hai

Youn Piyar Nahin Chhupta, Palkon Ke Jhukane Se
Aankhon Ke Lifafon Mein Tehreer Chamkti Hia

Khushrang Parindon Ke Lout Aane Ke Din Aaye
Bicharey Hue milte Hian, jb barf pighalti Hia

Shuhrrat Kee Bulandi B Pall Bhar Ka Tamasha Hai
Jis Dall Pe Baithey Ho, wo Toot B Sakti Hai

Bashir Badar

Tuesday 10 July 2012

Barri Mushkil Se Sulaya Hia


Barri Mushkil Se Sulaya Hai Khud Ko Mein Ne
Apni Aakhon Ko Tere Khawab Ka Lalch De Kar

Tum Mujhe Khaak Samjho


Tum Muhhe Khak B Samjho To Koi Baat Nahi
Yeh B Urti Hai to Aankhon Mein Samaa Jati Hai

Sunday 8 July 2012

Bheegi Palken....Chaley Bhee Aao


Bheegi Palken

Challey B Aao!
K Mein To Khud Ko Tumharey Rangon Mein Rang
Chukka Hoon
Tumharey Sanchon Mein Dhall Chukka Hoon
Tumharey Kehney Pe Aa K Dekho
Mein Khud Ko Kitna Badl Chukka Hoon

Atif Saeed

Yeh Aor Baat Ke


Yeh Aor Baat Hai Ke Izhaar Ho Na Sakaa Hm Se
Nahien Hai Tum Se Muhabbat, Ye Kon Kehta Hai

Ishq e Laa Hasil Ka Haasil


Ishq e Laa Hasil Ka Haasil Chahta Hoon
Mein Jisey Chahon Mukamal Chahta Hoon

Aatif Chuhdary

Saturday 7 July 2012

Teri Yadon Kee Barish


Teri Yaadon Kee Baarish Barsti Hai Jb B
Mein Beegta Zaroor Hoon, Mgr Palkon Ki Hd Tk

Zindagi Kay Sarey Dukh...Khuda Hafiz


Zindaggi Ke Sarey Dukkh
Sabhee Ranj o Allam
Ek Lafz mein Simit Kr Aa Gey
Jb Kissi Apney Ne Kaha
Hamesha Ke Laye..!!
Khuda Hafiz..

Raat Mein Barish Hui


Raat Mei_n Baarish Hui To Shaher Saraa Beh Giya
Kaisaa Sapna Thaa Jissey Mei_n Dekhtaa Hee Reh Giya

Thursday 5 July 2012

Muhabbat Haar Ke Jeena


Muhabbt Haar Kay Jeena Bada Dushwaar Hota Hai
Ussey Bs Itna Keh Dena, Bharram Toda Nahien Kartey

Taza Azzab Mein Guzri

Wasi Shah Poetry, Urdu Poetry, Ashaar, Designed Sher,


Hr Ekk Shab Meri Taza Azab Mein Guzri
Tumhare Baad Tumhare Hee Khawab Mein Guzri
Mein Ekk Phool Hoon Wo Mujh Ko Rakh K Bhool Giya
Tamam Umer Ussi Kee Kitaab Mein Guzri

Shouq E Nazar


Hm Ne Dekha Thaa Faqt Shouq E Nazar Kee Khatir
Kb Y Socha Tha K Tm Dill Mein Uttr Jao Ge

Tumhari Yaad Aai


Yeh Zabt Chhoot Giya To Tmhri Yaad Aai
Mein Thak K Toot Giya To Tmhari Yaad Aai
Tmhrey Baad Na Tha Koi Mera Dill K Siwa
Yeh Dill B Rooth Giya To Tmhari Yaad Aai

Yeh Qaied Sikhaa Deti Hai


Yeh Qaied Sikhaa Deti Hai Aadab e Muhabbat
Pinjrey Mein Parinday B Sharrart Nahi Karte

Sunday 1 July 2012

Agr Wo Pooch Lein


Agr Wo Pooch Lein Hm Se, Tmhen Kis Baat ka Gham Hai
To Phir Kiss Baat Ka Gham Ho, Agr Wo Poochh Lein Hum Se..!!!

Gullabi Titlee


Gulabi Titlee
Janey Kitnee Sadion Se
Neind Kaa Peechha Kartey Kartey
Aakhir Ekk Gulabi Titlee
Khawaab Nagr Ko Jaa Niklee!!!

Wo Kehta Rehta Hai


Wo Kehta Rehta Hai, Badri Majboorian Hain Waqt Kee
Saaf Lafzon Mein Woh Khud Ko Be Wafa Nahein Kehta

Advertisement