Zindag_i Se Dartey Ho?
Zindagi To Tum Bhi Ho,
Zindag_i To Hum Bhi Hain
Aadmee Se Dartey Ho?
Aadmee To Tum Bhi Ho, Aadmee
To Hum Bhi Hain
Aadmee Zaban Bhi
Hai,Aadmee Bayan Bhi Hai,
Is Se Tum Nahin Dartey!
Hurf Aur Maeeney Ke
Rishta Haye Aahan Se Aadmee Hai Wabasta
Aadmee Ke Daman Se Zindagee Hai Wabasta
Is Se Tum Nahin
Dartey!
Un Kahi Se Dartey Ho?
Jo Abhi Nahin Ayee, Us Ghary Se Dartey Ho
Us Ghary Ki Amad Ki
Aagahee Se Dartey Ho
Pehley Bhi To Guzrey Hain,
Daur Narasaai Ke, Beriya
Khudai Ke
Phir Bhi Ye Samajhtey Ho,Heech Aarzoo Mandi
Ye Shab E Zaban
Bandee,Hay Wo Khudavandi
Tum Mager Ye Kya Jano
Lab Ager Nahin
Hiltey,Haath Jag Uthtey Hain
Haath Jag Uthtey Hain,Rah Ka Nishan Ban Ker
Noor Ki Zaban Ban Kar
Haath Bol Uthtey Hain,Subha Ki Azaan Ban Kar
Roshni Sey Dartey Ho?
Roshni To Tum Bhi Ho,Roshni To Hum Bhi Hain
Roshni Se Dartey Ho
Sheher Ki Faseelon Per,Deo Ka Jo Saya Tha,
Paak Ho Gya Aakhir
Raat Ka Libada Bhi
Chaak Ho Gya Aakhir, Khaak
Hogya
Aakhir
Azdahaam E Insaan Se
Fard Ki Nawa Ayee,
Zaat Ki Sada Ayee
Raah E Shauq Mein Jaisey Raahero Ka Khoon Lapkey,
Ek Naya Junoon Lapkey!
Aadmee Chalak Uthey,
Aadmee Hansey
Dekho,Sheher Phir Basey Dekho
Tum Abhi Sey Dartey Ho
Haan Abhi To Tum Bhi
Ho,Haan Abhi To Hum Bhi Hain
Tum Abhi Sey Dartey Ho
No comments:
Post a Comment