Wednesday, 7 November 2012

Woh Tasawur Mein Jo AainWoh Tasawur Mein Jo Aain To Preshan Hona
Bin Kahey Kuchh Chaley Jain To Pasheman Hona

Janey Kiss Nahij Pe Lay Jaye Ashiqi Meri
Nahin Mumkin Zuban Waley Ka Bezuban HonaGarr Zindagi Mein Hai Sarab Ka Peecha Karna
Kiss Qadar Karbb Hai Sehra K Darmiyan Hona

Wo Ekk Paid Tanawar K Saharey Mein Khush
Mujhe Kafi Teri Zulf Ka Saibaan Hona

Manta Hoon K Muhabbat K Pujari Hain Bahot
Magarr Bejaa Hai Muhabbat Ka Bad Guman Hona

Woh Agr Kar Hi Chukey Hain Ye Faisla Muqeed
Mujhe Manzoor Hai Mazi Kaa Ekk Nishaan Hona

Abdul Mutlab Muqeed

1 comment:

Advertisement