Sunday 25 November 2012

Sakoon e Dil Na Raha



Sakoon e Dill Naa Raha Jab Wo Bezaban Thehrey
Khushi Khushi Naa Rahi Jab Wo Badguman Thehrey

Wo Bhi Ekk Waqt Tha, Bin Unkey Guzarta Hi Naa Tha
Yeh Bhi Ekk Waqt Hai, Lamhey Mujhey Sadian Thehrey

Tajahil Thaa Taghafal Thaa Raqabat Mein Jo Hail Thaa
Yeh Meri Badnaseebi Thi Wo Mere Raazdaan Thehrey

Mera Aks Aainey Mein Tha, Pass e Aainaa They Wo Khudd
Sarabb e Dasht Ki Manind Hamarey Darmiyan Thehrey

K Jin Ko Bhoolna Merey Laye Ekk Maarkah Saa Thaa
Jahan Jaon Nazar Aaye, K Jaisey Aasman Thehrey

Mujhey Bass Yaad Hai Itna Kinarey Parr He Doobey Thay
Keh Baad e Janib e Jaanaan He Merey Dushman Thehray

Woh Merey Zeesat K Lamhey Bazahir Chand Lamhey Thay
Magrr Mahsoos Hota Hai K Jaisey Ekk Zammann Thehrey

Yeh Aaghaz e Safar Thaa Aor Raqeeb Apney Baghal Mein Thaa
Yeh Merie Badnaseebi Thee, Woh Meer e Kaarwaan Thehrey

Muqeed Dasht e Qufs Hoon, Mera Siyyad Hai Sahera
Bujhaye Piyas Mere Aabla Paoin Jahan Thehrey

Abdul Mutlab Muqeed

No comments:

Post a Comment

Advertisement