Tuesday, 23 October 2012

Meri Zaat Zarra e Benishan


Meri Zaat Zarra e Benishan

Tere Siwa Kia Janey Koi
Dil Ki Hallat Rabba
Samney Tere Mujh Pr Guzri
Kaisi Qayamat Rabba

Mein Wo Kiss Tarah Se Karon Bayan
Jo Kaye Gaye Hain Sitam Yahan
Sunney Kon Meri Ye Dastaan
Koi Hamnasheen Hai Naa Razdan
Jo Tha Jhoot Wo Banna Sach Yahan
Nahin Kholi Mein Ne Mgr Zaban
Yeh Akaila Pan, Ye Uddasian
Meri Zindagi Ki Hai Tarjuman
Meri Zaat Zarra e Benishan
Meri Zaat Zarra e Benishan
Kabhi Suni Subh Mein Ghumna
Kabhi Ujjri Shaamon Ko Daikhna
Kabhi Bheegi Aankhon Se Jagna
Kabhi Beetey Lamhon Ko Sochna
Mgr Ekk Pall Hai Umeed Ka
Hai Mujhe Khuda Ka Jo Aasra
Nahin Mein Ne Koi Gilla Kiya
Nahin Mein Nay Di Dhuhaiyan
Meri Zaat Zarra e Benishan
Meri Zaat Zarra e Benishan
Mein Bataon Mujhe Kiya Milley
Mujhe Sabr Hi Ka Silla Milley
Kissi Yaad Hi Ki Ridda Milley
Kissi Dard Hi Ka Silla Milley
Kissi Gham Ki Dill Mein Jaga Milley
Jo Mera Hai Wo Mujhey Aa Milley
Rahey Shaad Younhi Mera Jahan
K Kion Badley Mera Gumman
Meri Zaat Zarra e Benishan
Meri Zaat Zarra e Benishan


No comments:

Post a Comment

Advertisement