Tuesday 23 October 2012

Chahat Kee Dehleez Par



Chahat Kee Dehleez Par
Beqarari K Sumander Mein
Jazbat Ki Moujon Nay
Uthhaya Hai Sar
Aor
Janoon Ki Mehfil Sajai Hai

Faqt Ehsas e Tanhai Hai
Sarkashi Ki Waja
Tere Madham Se Qadmon Ki
Purr Tarranum See Aahat Hai
Bhalla Ka Dard Hai
Aor
Bay Tarteeb Sanson Mein
Ghirrey Hain Gham Ki Banhon Mein
Yahi Dehleez Thi Pehley
Naa Thay Jazbat Na Sumander Be Qarari Ka
Na Ye Dardnaak Aahein Aor
Na Ye Bay Zabt See Tabiat Thi
Aor
Aalm PurSakoon Saa Thaa
Yeh Mehfil e Bay Janoon Saa Thaa
Magr Ab Runuma Hone Lagein
Ye Jo Tabdeelian
Ye Abb Mahsoos Hota Hai
Tallatum Ki Waja Tum Ho
Aor
Teri Chahat Ka Ye Ehsaas
Sabab Jeeney Ka Mere Paas

Abdul Muttlab Muqeed

No comments:

Post a Comment

Advertisement