Wednesday 20 November 2013

Bhoolta Kon Hai


Roman Urdu    رومن اردو

Bhoolta Koun Hai
Waqt Kay Ghao Ko
Hijr Kay Tund Toofan Ko
Bay Yaqeen Lehr Mein
Wissl Kay Khaab Ki
Doobti Nao Ko

Bhoolta Kon Hai
Apney Qaatil Kay
Khad O Khaal Ko
Dukh Uthatey Dinon
Aor Mah O Saal Ko
Bhoolta Koun Hai
Umer Ki Shaakh Pay Khilney Wali
Uss Aik Awaleen Sham Ko
Bay Sabab Jo Lagga Hai, Uss Ilzam Ko
Phir Terey Naam Ko, Bhoolta Koun Hai

Urdu   اردو

بھولتا کون ہے
وقت کے گھاؤ کو
ہجر کے تُند طوفان کو
بے یقین لہر میں
وصل کے خواب کی
ڈوبتی ناؤ کو
بھولتا کون ہے
اپنے قاتل کے
خدوخال کو
دُکھ اُٹھاتے دنوں،
اور ماہ و سال کو
بھولتا کون ہے
عمر کی شاخ پہ کھلنے والی
اُس ایک اولیں شام کو
بے سبب جو لگا ہے
 اُس الزام کو
پھر تیرے نام کو
بھولتا کون ہے

No comments:

Post a Comment

Advertisement