Friday 12 October 2012

Mein Ussey Chhorr Aai Hoon




Mein Ussey Chhorr Aai Hoon

Mein Muhabbat Ki Ibteda Aor
Inteha K Mutaliq Nahin Janti      
Mein Iss K Maani B Nahi Samjhi Hoon
Magger, Jis K Binna
Sans Lena Bhi Mumkin Nahin Tha
Jiss Ke Bicherney K Khiyal Se Hi
Dill Ki Sari Ragen Toot'ti Thein
Wo Jiss Ki Kaj Addai
Sahi Nahin Jaati Thi
Wo Jiss Ki Ekk Pall ki Berukhei Se
Kumla See Jati Thi
Wo Jiss Ki Halki See Takleef
Mujhe Bokhla Deti Hai
Wo Jis Ki Choti C Farmaish
Puri Krney Ko Kia Kia Jattan Karti Thi
Jiss Ki Har Baat Seh Jati Thi
Jissey Rothney Nahin Deti Thee
Aaj Uss Ki Aakhri Tamna Bhi
Puri Kar Aai Hoon
Haam Tum Sahi Samjhey Ho
Mein Uss K Laye, Ussey Chhorr Aai Hoon
Jiss K Na Honey Se
Mere Jewan K Sab Rangg Khatam Ho Gaye Hain



Rabia Basri

No comments:

Post a Comment

Advertisement