Thursday 2 August 2012

December Mujhe Raas Aata Nahi


Kayi Saal Guzrey...
Kayi Saal Beetay...
Shab--O--Roz Ki Gardishon Ka Tasalsul
Dill o Jaan Mein Saanson Ki Partein Ultatey Huey
Zalz-zalon Ki Tarah Hanpta Hai...!
Cheekhtay Huey Khawab
Aankhon Kee Nazuk Ragein Chheeltey Hain
Magr Mein Hr Ek Saal Kee Goed Mein
Jagtee Subaha Ko
Bay Karaan Chahton Se Atti Zindgi Kee Dua Day Kr
Ab Tak Wohi Justaju Kr Raha Hoon
Safar Zindagi Hai
Safar Aagahi Hai
Safar Aabla Pai Kee Dastan Hai
Safar Umer Bhr Ki Sulgti Hui Khuwahishon Kaa Dhuwan Hai
Kaie Saal Guzre
Kaie Saal Beetay
Musalsal Safar K Kham O Paich Mein
Saans Leti Hui Zindagi Thk Gaie Hai
K Jazbon Ke Gilli Zameeno Mein
Boye Huey Roz O Shab Ki Hr Ekk Fasal Ab Pakk Gayie Hai
Guzarta Hua Saal B Akhri Hichkian Le Raha Hai
Merey Paish O Pass
Khaof, Daheshat, Ajjal, Barood Ki Mouj
Abadian Noch kr Apney Jabron Mein Jakri Huie Zindagi Ko
Darindon Ki Surrat
Nigalne Ki Mashqon Mein Masruf Hain
Hr Ekk Rasta, Mout Ki Rehguzar Hai
Guzarta Hua Saal jaisey B Guzra
Magr Saal K Akhri Din
Nehayat  Kathin Hain
Hr Ekk Simt Lashon K Anbaar
Zakhmi Janazon Ki Lambi Qatarein
Kahan Tk Koi Dekh Payie..?
Hawaon Mein Barood Ki Baas
Khud Aman Ki Noha Khawan Hai
Koi Charagar, Asr e hazir Ka Koi Maseeha Kahan Hai..?
Merey Milney Walo...!
Naiye Saal Ki Muskurati Subaha Gr Hath Aye.
To Milna..!
K Jatay Huey Saal Ki Saaton Mein
Ye Bujhta Hua Dil
Dharakta To Hai
Muskurata Nahi
December Mujhe Raas Aata Nahi..

Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Advertisement