Gull B Gulshan Mein Kahan Ghuncha e Dahan Tm Jaise
Koi Kiss Munh Se Karey Tum Se Sukhan Tm Jaise
Ye Mera Hussn e Nazr Hai To Dikha De Koi
Qaamat O Gaisoo O Rukhsar O Dahan Tm Jaise
Ab To Qasid Se B Hr Baat Jhijk Kr Kehna
Le Gae Ho Mera Be Sakhtapan Tm Jaise
Ab To Nayab Huey Dushman Deeran Tak
In Kahan Aaye Mere Yaran e Kuhen Tm Jaise
Kbhi Hm Pr B Ehsaan Ke Banna Dete Ho
Aapni Aamd Se BiabaN Ko Chaman Tm Jaise
Kabhi In Lala Qabaon Ko B Dekha Hai Faraz
Pehne Phirte Hain Jo Khawabon Ke Kafan Tum Jaise
Ahmad Faraz
No comments:
Post a Comment